Mujh se kaafir ko tere ishq ne yun sharmaya..

Ahmad Nadeem Qasmi Poetry

Mujh se kaafir ko tere ishq ne yun sharmaya,
Dil tujhe dekh ke dharrka to khudaa yaad aaya,
Mere dil pe to hai ab tak tere gham ka saaya,
Log kehte hain neya daur naye dukh laya,
Mera meyaar-e-wafaa hi meri majboori hai,
Rukh badal kar bhi tujhe apne muqaabil paya,
Charagar aaj sitaron ki kasam kha ke bata,
Kis ne insaan ko tabasum ke liye tarrpaya,
Log hanstey hain to is soch main kho jata hon,
Mauj-e-sailaab ne phir kis ka gharaunda dhaaya,
Uss ke andar koi fankaar chupaa betha hai,
Jaantey boojhtey jis shakhs ne dhoka khaya..


Aayina dekh ke, Aik aur tamasha dekho..

Ahmad Nadeem Qasmi Poetry

Aayina dekh ke, aik aur tamasha dekho,
Apne paikar mein mera hussan-e-tamana dekho,
Tum ko khush ayi na shayed meri palkon ki nami,
Dil mein utray ho to aao mera sehraa dekho,
Meri peyas’on, meri aaso’n, meri ankhon mein kabhi,
Mere ban, mere gulistaan, mere daryaa dekho,
Naam le ker mera, tum us ko pukaaro to sahi,
Is bhare sheher mein jis shakhs ko tanha dekho,
Main mohabbat ke safar mein nahin bhatkoon ga kabhi,
Apne qadmon se chamakta hua rasta dekho,
Main agar yaad na aaon, to chaman mein ja kar,
Shaakh ke hath se girta hua pataa dekho..


Jo buraayi mere naam se mansoob huyi..

Ahmad Nadeem Qasmi Poetry

Jo buraayi mere naam se mansoob huyi,
Dosto! kitna bura tha mera acha hona..


Waqt ik pal ko jo ruk jaye to ehsaan is ka

Ahmad Nadeem Qasmi Poetry

Waqt ik pal ko jo ruk jaye to ehsaan is ka,
Chand yaadain mere dil mein se guzarna chahain..


Dil Mein Hum Aik Hi Jazbe Ko Samoyen Kese

Ahmad Nadeem Qasmi Poetry

Dil mein hum aik hi jazbe ko samoyen kese,
Ab tujhe paa ke yeh uljhan hai ke khoye kese,
Zehen chhalni jo kiya hai, to yeh majboori hai,
Jitne kaante hain, woh talwon mein piroyen kese,
Hum ne maana ke bohat dair hai hashar aney tak,
Chaar janib teri aahat ho to soyen kese,
Kitni hasrat thi, tujhe pass bitha ker rotay,
Ab yeh yeh mushkil hai, tere samne roye kese…!


Itna Dushwar Nahi Maut ko Taaley Rakhna

Ahmad Nadeem Qasmi Poetry

Itna Dushwar Nahi Maut ko Taaley Rakhna
Sar Jo kat Jaaye To Dastaar Sambhale Rakhna,
Chot khana, Magar Is Tarah K Lodhey Uthey
Zulmat Gham Isi Tarey se Ujahely Rakhna
Apne Ahbaab ko Seeney Se Lagaye Phirna
Aik Khanjar Bhi Jaib Mein Daley Rakhna,
Meri Pehchan Mere Peer-e-Hain Zakhm Se Hai
Ab Bhi Aezaaz sahi Shaal Do Shaley Rakhna,
Dasht Ehsaas Ki Hiddat Bhi Kayamat Hai “Nadeem”
Kuch Zaroori To Nahi Paaon Mein Chaley Rakhna


Ye Kia Ke Ishq Karoon Paas-e-Aabroo Na Karoon

Ahmad Nadeem Qasmi Poetry

Ye Kia Ke Ishq Karoon Paas-e-Aabroo Na Karoon
Mein Tujh Ko Kho Ke, Khuda Ki Bhi Justuju Na Karoon
Mein Intezaar-e-Tuluu-e-Seher Mein Jeeta Hun
Mein Apna Chaak-e-Girebaan Kubhi Raffu Na Karoon
TU Sirf Jism Nahi Hai, Waraa-e-Jism Bhi Hai
Mein Tujh Ko Paa Ke Bhi Kiun Teri Aarzoo Na Karoon ?
Gayuur Hun Ke Ijaara Pasand Hun, Kia Hun ?
Mein Tujhe Apnay Khuda Ke Bhi Ruu-Baruu Na Karoon
Ye Mashwaray Tou Mere Tark-e-Shair Ke Hain Nadeem
Ke Jab Bhi Shair Kahoon, Dil Lahoo Lahoo Na Karoon………!


Dil mein hum aik hi jazbe ko samoyen kese

Ahmad Nadeem Qasmi Poetry

Dil mein hum aik hi jazbe ko samoyen kese,
Ab tujhe paa ke yeh uljhan hai ke khoyen kese,
Zehen chalni jo kiya hai, To yeh majboori hai,
Jitne kaante hain, woh talwon mein piroyen kese,
Hum ne maana ke bohat der hai hashar aney tak,
Chaar janib teri aahat ho to soyen kese,
Kitni hasrat thi, Tujhe pass bitha ker rote,
Ab yeh yeh mushkil hai, Tere samne royen kese…
(Samoyen:Keep)(Chalni:Injured)(Talwon:Feet)(Hashar:Judgement Day)


Mein tujhe ko bhool chuka, Lekin aik umar ke baad

Ahmad Nadeem Qasmi Poetry

Mein tujhe ko bhool chuka, Lekin aik umar ke baad
Tera kheyal kya tha ke chott ubhar aayi…


Na shaaor mein jawani, na khayal mein rawani

Ahmad Nadeem Qasmi Poetry

Na shaaor mein jawani, na khayal mein rawani
Koi sun ke kya karega meri dukh bhari kahani
Na zawaal nagehani, Na arooj jaawdani
Meri zindagi ka unwan, Fakt aik lafz “Faani”
Yeh shikast ka jahanum kahin phir bharak na uthey
Mere ishq ke khandar par, na karain woh gulfishani
Na gumaan yaar in per, Na jamal e yaar in mein
Tere kokab o kamar se na behel saki jawani
Mujhe aur zindagi de, ke hai dastaan adhoori
Meri maut se na hogi, mere gham ki tarjumani


Mein bhi fani hon, Tu bhi fani hai

Ahmad Nadeem Qasmi Poetry

Har musarat se sargarani hai
Kya yehi aalim jawani hai
Aa tujhe aik raaz batlaaon
Mein bhi fani hon, Tu bhi fani hai


Ik sehmi sehmi si aahat hai, ik mehka mehka saya hai

Ahmad Nadeem Qasmi Poetry

Ik sehmi sehmi si aahat hai, ik mehka mehka saya hai
Ehsaas ki is tanhai mein yeh raat gaye kon aya hai
Aye shaam alam kuch tu hi bata, yeh dhang tujhe kyon bhaya hai
Woh meri khoj mein nikla tha aur tujh ko dhoond ke aya hai
Mein phool samajh ke chun loon ga is bheege se angaaron ko
Ankhon ki ibaadat ka mein ne bss aik yehi phal paya hai
Kuch roz se barpa chaar taraf hain shadi o gham ke hangamey
Sunte hain Chaman ko maali ne phoolon ka kafan pehnaya hai


Itna dushwar nahin maut ko taley rakhna

Ahmad Nadeem Qasmi Poetry

Itna dushwar nahin maut ko taley rakhna
Sar jo kat jaye to dastar sambhaley rakhna
Chot khana, magar is tarah ke lodhey uthey
Zulmat gham isi tarey se ujahely rakhna
Apne ehbaab ko seeney se lagaye phira
Aik khanjar bhi jaib mein daley rakhna
Meri pehchan mere peer-e-hin zakhm se hai
Ab bhi aezaaz sahi shaal do shaley rakhna
Dasht ehsaas ki hiddat bhi kayamat hai nadeem
Kuch zaroori tou nahin paon mein chaley rakhna


Chand khushk patey they

Ahmad Nadeem Qasmi Poetry

wo koi aur na tha chand Khushk patte the
shajar se tut k jo fasl-e-gul pe roye the
abhi abhi tumhain socha to kuch na yad aya
abhi abhi to ham ek-dusare se bichre the
tumhare bad chaman par jab ik nazar dali
kali kali main Khizan k chirag jalate the
tamam umr wafa ke gunahgar rahe
ye aur bat ki ham adami to ache the
shab-e-Khamosh ko tanhai ne zaban de di
pahar gunjte the dasht sansanate the
wo ek bar mare jin ko tha hayat se pyar
jo zindagi se gurezan the roz marte the
naye Khayal ab ate hain dhal ke zahan main
hamare dil main kabhi khet lahlahate the
ye irtiqa ka chalan hai k har zamane main
purane log naye admi se darte the
?Nadeem? jo bhi mulaqat thi adhuri thi
k ek chehre ke piche hazar chehre the


Tujhe izhar-e-Mohabbat Say Agar Nafrat Thee

Ahmad Nadeem Qasmi Poetry

Tujhe izhar-e-Mohabbat Say Agar Nafrat Thee,
Tu Nay HonTon Ko Laraznay Say To Roka Hota
Bay Niazi Say Magar Kaanpti Aawaz K Saath
Tu Nay Ghabra K Mera Naam Nah Poocha Hota
Terey Buss Main Thee Agar Mashal-e-jazbaat Ki Lau
Terey Rukhsaar Main Gulzaar Nah BhaRka Hota
Youn To Hwin Mujh Say Buss Aa-o-Hawa Ki Batein
Apnay tootey Huey Fiqron Ko To Parkha Hota
Youn He Bay Wajah He Thaknay Ki Zarurat Kiya Thee
Dam-e-Rukhsat Agar Kuch Yaad Nah Aaya Hota
Tera Ghammaz Bana jo tera Andaz-e-jurm
DiL Nah Sumbhla Tha To Qadmon Ko Sumbhala Hota
Apnay badley Meri Tasveer Nazar aa jati
Tu Nay Us Waqt Agar Ayena Dekha Hota
Hosla Tujh Main Nah Tha Mujh Say juda Honay Ka
Warna[black] Kaajal Teri Aankhon Main Nah Phela Hota

0 plz comments:

Post a Comment