Abi suraj nahi duba abi shaam hone do,

Abi suraj nahi duba abi shaam hone do,

main khud he loat jao ga mujay nakaam hone do,

aur mujay badnaam krne ka bahana dhondne walo,

main khud he badnaam ho jao ga mera naam tu hone do...
This post was published by : khawar hussain

Aya tha imtihan me mazmon-e-by wafa

Aya tha imtihan me mazmon-e-by wafa..
tashreeh jo teri ki to hum top kr gy..

This post was published by Rana Noman

Socha tha meray dukh ka madawa karei’n gey kuch. .

Socha tha meray dukh ka madawa karei’n gey kuch..
Wo pursish-o-malal sey agey nahi gaye..!


Sochtey kiun nahi tum daikh key weera’n ankh’ein..?

Sochtey kiun nahi tum daikh key weera’n ankh’ein..?
Hum ney bhi dil mein koi shehar basaya ho ga..


Sun key mujh sey fasana-e-gham-e-dil!

Sun key mujh sey fasan-e-gham-e-dil!
Aap bhi gham zada na ho jana..

Samander hai meri takhleeq lekin.

Samander hai meri takhleeq lekin..
Mein qatra hun uchalna chahta hun.!


Muhabbat key safar mein!

Muhabbat key safar mein
aaj phir souchta hun
kitney din huay hein
tum ko dekha nahi
goya
kitney din huay hain
khud ko mila nahi
janey kab milo gay
lekin Jab milo gay
mein khod ko ainey mein
dekhlun ga
muhabbat key safar mein
aaj phir sochta hun. . !


Sham dhaley jab sarey panchi ghar ko janey lagtey hein!

Sham dhaley jab sarey panchi ghar ko janey lagtey hein..
Samey waley pairr pey bethi chiriya roney lagti hai!!

Sharam ko shirk ki had tak na barha…

Sharam ko shirk ki had tak na barha…
Youn na chup hum sey khuda ho jesay!

Shor to youn utha tha jesay ik toofa’n ho!

Shor to youn utha tha jesay ik toofa’n ho!
Sanatey mein janey keay doob gaya..

Shayad is dukh sey ujri chali jati hai zamee’n.

Shayad is dukh sey ujri chali jati hai zamee’n.
Ab to insaa’n ka sitar’on per basera ho ga..

Abhi aay ho abhi ja rahey ho !

Abhi aay ho abhi ja rahey ho
kuch dair aur ruko abhi raat baki h ai
is tarha barish mein
mat chor ker jao mujhey
in ankh’on mein an-dekhay sapney bohat baki hein
tum in rah’on mein abhi sey nidhal ho
abhi dukho’n ki kitab aur baki hai
tum kisi aur key ho jao ye ho nahi sakta
abhi to ‘Gul’ ki saans boht baki hai..

Shayaro, naghma garo, nug tarasho, dekho.

Shayaro, naghma garo, nug tarasho, dekho..
Is sey mil lo to batana key hasee’n tha koi.!

Sharm ada-e-naz hai apney sey hi sahi..

Sharm ada-e-naz hai apney sey hi sahi..
Hein kitney be-hijaab key yuon hein hijaab mein.!

Shab magar kaat li hi ankh’on mein!

Shab magar kaat li hi ankh’on mein!
Door hoti rahi sehar phir bhi..

Shouq tha jis ney mahi be-aab rakha!

Shouq tha jis ney mahi be-aab rakha!
Log kehtay thay yehi khak hai dariya mera..

Mein Hun aur Tanhai Hai!

Mein hun
Aur tanhai hai
Teri ye chand tasweer’ain
Jo mujh sey baat’ein kerti hein
Teri ye chand tehreer’ain
Jin ko parh ker hum khod ko tasali’yan detay hein
Aur kuch card
Jinhei’n hum eid per parha kertay hein
Aur
Teray bhejay huay kuch gift
Jinhei’n hum her waqt chuma kerat thay
Agr tum khod aa ker dekho
Mera kamra bas teri
Yaad’on ki nishani hai
Aur tum
Kehtay ho key mujhey bhol jao. . !



Shama jal jal ker mita deti hai apna wajood.!

Shama jal jal ker mita deti hai apna wajood.!!
Ba-wafa is per bhi keh detay hein parwaney ko hum..

Aye ishq marhaba wo yaha’n tak to aa gaye!

Sharma gay, lajha gay, ankh’ein chura gay.!
Aye ishq marhaba wo yaha’n tak to aa gaye..

Shola-e-husn sey jal jaye na chehray ka naqaab.

Shola-e-husn sey jal jaye na chehray ka naqaab..
Apney rukhsar sey pardey ko hataye rakhiye!

Shareeq-e-bazm hui jab sey chasm-e-saqi.

Shareeq-e-bazm hui jab sey chasm-e-saqi.!!
Har ik jaam sey chalkey hazar maey khaney..

Wo mujh sey pocha kerti thi

Mein ik pal bhi ghar sey nikl’on
To wo mujh sey pocha kerti thi
Tum kahan gaye thay
Kis sey milney gaye thay
Kia kam tha tujh o
Aisey be-wajha
Ghar sey na nikla karo
Zamana bohat kharab hai
Aaj teen shab bad
Jab mein ghar lauta to
Yaad aya
Wo pocha kerti thi

Shama hai, jaam-o-surahi hai aur saqi hai.

Shama hai, jaam-o-surahi hai aur saqi hai..
Aye dil teray qatal mein ab kon si kasar baki hai!

Shehar-e-ehsas mein sangeen hai jurm-e-ulfat.!

Shehar-e-ehsas mein sangeen hai jurm-e-ulfat..
Gham key zindaa’n mein hi ab apna basera ho ga.!!

Shabab rafta key qadam ki chaap sun raha hun mein!

Shabab rafta key qadam ki chaap sun raha hun mein!!
‘Nadeem’ ehad-e-shouq ki sunaey ja kahani’yan..

Shehar farhaad key mathey pey likha hai kis ney.

Shehar farhaad key mathey pey likha hai kis ney..
Apney saye ko bhi zanjeer pehnaye rakhna!!

Sham sey hai mujh ko subha-e-gham ki fikar..

Sham sey hai mujh ko subha-e-gham ki fikar..
Subha sey gham sham-e-tanhai ka hai!

Mujh jesa qalandar

Shukar hai ‘ghausi’ key mujh jesa qalandar umer bhar..
Aik shehar-e-elm-o-hikmat ka numainda raha.!!

Andesha bi tha or Ehtiaat bi bohat ki..

Andesha bi tha or Ehtiaat bi bohat ki,
Hoty Hoty wo shaks judda ho hi gaya…

Meri Duaoo’n Mai’n Tera Hi Wajoud Rehta Hai..

Meri Duaoo’n Mai’n Tera Hi Wajoud Rehta Hai,
Iss Sey Barh Ker Mera Aitraaf Or Kia Ho Ga..

Kaha Tha Na K Humein Bhool Jao Ge..

Kaha Tha Na K Humein Bhool Jao Ge,
Meri Ess Baat Py Aksar Lara Krty Thy Tum..

Shouq-o-wisal hai yaha’n, lab pe sawal hai yaha’n.!!

Shouq-o-wisal hai yaha’n, lab pe sawal hai yaha’n.!!
Kis ki majal hai yaha’n hum sey nazar mila sakey..


Main nahi itna ghafil

Main nahi itna ghafil k apne chahna walo ko bhool jao
Masroof zaror hota ho lakin yaad sab ko karta ho........


Hazaro ki gitni

Hazaro ki gitni mujhe nahi atti per ik dil ki baat tum sa keh du
pani ka har ik qatra agar dua ban jai to tohfe main tum ko sara samander dai du......


Apny honto ko

Apny honto ko mera honto sa mila is tarha k
tari piyass bhuj jai ya mari saans ruk jai.......


Mari majburiyoon ko


Mari majburiyoon ko mari badqismati mat samajhna
hum un raho sa guzra hai jaha qismat to door saya bhi sath chor jata hai......


Kitna anmol

kitne anmol hote hai yeh muhabbat k rishta bhi
koi yaad na bhi kare intizaar phir bhi karta hai.......


Waqt badalta

Waqt badalta hai zindgi k sath.
zindagi badalti hai muhabbat k sath.
muhabbat nahi badalti apno k sath.
bus apna badal jata hai waqt k sath.....


Bebassi

Bebassi hai udasi hai ansu hai aur dard hai
dekho sab hain mera pas bus woh hi nahi...... 


Bohat masroof ho

Bohat masroof ho shayad jo hum ko bhool baitha ho
na yeh pocha kaha ho na yeh jana kaisa ho.......


Shikwa

Bari gustakh hai tari yaad issey tameez sikha do
dastak bhi nahi dati aur dil main utar jati hai......


Jawab e shikwa

Arey q lagata ho mari yaad per gustakhi ka ilzam
apna hi ghar ho to kon pooch k atta hai.............


Hath ki naabz

Hath ki naabz kaat baithe hai
k shayad wo dil sa nikal jai khoon k zariye.......


Mari zarkhaiz

Mari zarkhaiz aankho par faqat is liya zawal aya
ik khawab dekh betha tha apni oqat sa ziyada.....


Dukh to hota hai

Koi rishta toot jai dukh to hota hai.
apne ho jai parai dukh to hota hai.
hum mar jai uhde wafa nibhata nibhata.
aur un ko yaqeen na ai dukh to hota hai.
manna hum nahi piyaar k qabil.
magar is tarha koi thukrai dukh to hota hai.
jis ki khatir sajai hum na yeh mehfil.
wohi is main na ai dukh to hota hai.
hum roz unko yaad kare apno ki tarha.
unhe kabhi hamri yaad na ai dukh to hota hai......


Woh kehna laga

Woh kehna laga mujhe niqab main bhi pehchan leta ho hazaron k beech
Maina muskura k kaha tari ankho sa hi shuru huwa tha ishq hazaroo k beech.......


Duniya main to

Duniya main to koi aur bhi hoga tera jaisa
per hum tujhe chahte hai tera jaisa ko nahi.....


Koi ghazal

Koi ghazal tera name no ho jai.
aj likhte likhte shaam na ho jai.
kar raha ho intizar tere izhar e muhabbat ka.
is intizar main zindagi tamam na ho jai.
nahi leta tera name sare aam is dar se.
kahi tera name badnaam na ho jai.
mangta ho jab bhi duato khayal atta hai.
k yeh judai mera pyar ka anjam na ho jai.
sochta ho darta ho aqsar tanhai main.
us k dil main kisi kamuqam na ho jai.......


Dil jisse

Dil jisse bepanah chahta tha
ab ussi sa panah chahta hai......


Kabhi yaad

Kabhi yaad kar liya karo is banda e nacheez ko
yeh dost purana hi sahi magar abhi zinda to hai......


Tu yaad kar

Tu yaad kar ya bhool ja
yaad hai tu yeh yaad rakh.....


Zindagi

Zindagi ki is kashmakash main waisa to main bhi bohat masrood ho
lakin waqt ka bahana bna kar apno ko bhool jana mujhe aj tak nahi aya.....


Wafadar aur barrish 

Wafadar sa dosti kar woh kitna hi duur ho
bewafa ko goli maar chahe wo apna khun ho
agar aasman main badal ho to barish zaror hogi
agar dil main dosti ho to mulaqat zaror ho gi.....


Chu le aasman

Chu le aasman zameen ki talash na kar
jee la zindagi khushi ki talash na kar
taqdeer badal jai gi mera dost
muskrana seekh la wajha talash na kar.....


Zulmat ka daira Jisse kehta hai zindagi

Zulmat ka daira Jisse kehta hai zindagi
do char din to is main bari roshani rahi....


Zulm wo tera khoof say lab per nahi atta

Zulm wo tera khoof say lab per nahi atta
hone ko to kya kya mera dil main nahi hota.....


Zahir ki ankh sa na tamasha karey koi

Zahir ki ankh sa na tamasha karey koi
ho dekhna to deda-e-dil wa karey koi.....


Zarf kam zarfi sey bhar sakta nahi

Zarf kam zarfi sey bhar sakta nahi
pani chuloo main tehar sakta hai.....


Zulm hai gar na do sukhan ki daad

Zulm hai gar na do sukhan ki daad
kehar hai gar mujh ko kro n apiyar.....


Aarz-e-ahwal per yeh farmaya

Aarz-e-ahwal per yeh farmaya
kis ney sir per jahan uthaya hai.....


Gham ki barish na bhi tera naksh ko dhoya nahi

Gham ki barish na bhi tera naksh ko dhoya nahi
tu ney mujh ko kho diya,maina tujhe khoya nahi.....


Ishq ki be tabiyon per husn ko reham a gaya

Ishq ki be tabiyon per husn ko reham a gaya
jab nigha e shouq tarpi parda e mehmal na tha.....


Ishq kuch mehboob k marney sey mar jata nahi

Ishq kuch mehboob k marney sey mar jata nahi
rooh main gham ban kar rehta hai magar jata nahi.....


Ishq sunte tha jisse hum woh yahi hai shayad

Ishq sunte tha jisse hum woh yahi hai shayad
khud ba khud dil main hai ik sahks samaya jata.....


Ishq sa kyun khosh hoye gham sa kyun ghabrain

Ishq sa kyun khosh hoye gham sa kyun ghabrain
zindagi kya jana kya thi aur kya samajh gai.....


Adat hi bana li hai tum ney to "Mak" apni

Adat hi bana li hai tum ney to "Mak" apni
jis shehar main bhi rehna uktai huwa rehna.....


Eid k roz bhi taqdeer say majboo r they hum

Eid k roz bhi taqdeer say majboo r they hum
roo pare mil k galle ap ki tasweer sey hum.....


Ishq hai husn say manos yeh kaisa janoo

Ishq hai husn say manos yeh kaisa janoo
sahma ko dekh kar perwana to jal jata hai.....


Hamari qadar

Hamari qadar ho hi jai ge kisi roz tum ko in tanhaiyoo main
abhi to bohat sa log hai tera pass dil lagi k liya.....................


Muhabbat

Muhabbat bhi aik siyassat hoti hai
jeet gai to badshahi haar gai to qaid e tanhai.....


Hum kisi ko majboor

Hum kisi ko majboor nahi karte k woh hum say baat karey
jinhe ho muhabbat woh khud hi pehal kar liya karee..........


Bahana kyun

Bahana kyun talash karte ho masroof hone ka
bus itna hi keh diya karo k ab dil main jagha nahi rahi aap k liya......


Tujhe muhabbat

Tujhe muhabbat karna nahi atti
mujhe muhabbat k siwa kuch nahi atta
zindagi guzarney k 2hi tareeka hai
ek tujhe nahi atta ek mujhe nahi atta......


Na tarapta dil

Na tarapta dil na rooti aankhey na laboo pe name koi aur hota
hum us ki tammana hi kyun karte agar us jaisa koi aur hota.....


Aaj tak 

Aaj tak jo hum tujh sey keh na sake
aaj wazahat sa iqrar karte hain
jisey tumroz dekhta ho aina main
us se hum be pinnah muhabbat karte hai......