Rahe ga ishq tera khaak mein mila ke mujhe..

Daag Dehlvi Poetry

Rahe ga ishq tera khaak mein mila ke mujhe,
Ke ibtidaa mein huye ranj intihaa ke mujhe,
Diye hain hijar mein dukh dard kis balaa ke mujhe,
Shab-e-firaaq ne maara litaa litaa ke mujhe,
Baghair maut ke kis tarah koi marta hai,
Mera raqeeb bhi roya galey laga ke mujhe,
Har ik shakhss ko haasil judaa hai kefiyat,
Jafaa ke lutf tujhe hain, mazey wafaa ke,
Ghazab ki aah meri, Daagh naam hai mera,
Tamaam sheher jalaao ge kya jalaa ke mujhe..


Ranj Ki Jab Guftaguu Honay Lagi

Daag Dehlvi Poetry

Ranj Ki Jab Guftaguu Honay Lagi
Aap Se Tum Tum Se TU Honay Lagi
Chahye Paighambar Dono Taraf
Lutf Kia Jab Du-Ba-Du Honay Lagi
Meri Ruswayi Ki Naubat Aagayi
Unki Shohrat Qu-Ba-Qu Honay Lagi
Bay Niazi Badh Gayi Hai Is Qadar
Aarzoo Ki Aarzoo Honay Lagi
Ab Tou Mil Kar Dekhye Kya Rang Ho
Phir Hamari Justajuu Honay Lagi
“Daagh” Itraaye Howay Phirtay Hain Aaj
Shaayad Unki Aabruu Honay Lagi


Rasm-e-Ulfat Sikha Gaya Koi

Daag Dehlvi Poetry

Rasm-e-Ulfat Sikha Gaya Koi
Dil Ki Duniya Pe Chhaa Gaya Koi
Ta Qayaamat Kisi Tarah Na Bujhay
Aag Aisi Laga Gaya Koi
Dil Ki Duniya Ujri Si Kyun Hai ?
Kia Yahan Se Chala Gaya Koi
Waqt-e-Rukhsat Galay Laga Kar “Daagh”
Hanste Hanste Rula Gaya Koi


Ajab Apna Haal Hota Jo Visaal-E-Yaar Hota

Daag Dehlvi Poetry

Ajab Apna Haal Hota Jo Visaal-E-Yaar Hota
Kabhi Jaan Sadqe Hoti Kabhi Dil Nisaar Hota
Na Mazaa Hai Dushmani Main Na Hai Lutf Dosti Main
Koi Gair Gair Hota Koi Yaar Yaar Hota
Ye Mazaa Tha Dillagi Ka Ke Barabar Aag Lagti
Na Tumhen Qaraar Hota Na Hamein Qaraar Hota
Tere Waade Par Sitamgar Abhi Aur Sabr Karte
Agar Apni Zindagi Ka Hamein Aitbaar Hota


Lutf Wo Ishq Mein Paaye Hain Ke Jee Jaanta Hai

Daag Dehlvi Poetry

Lutf Wo Ishq Mein Paaye Hain Ke Jee Jaanta Hai
Ranj Bhee Aisay Uthaaye Hain Ke Jee Jaanta Hai
Jo Zamaanay Ke Sitam Hain Wo Zamaana Jaanay
TU Ne Dil Itnay Sataaye Hain Ke Jee Jaanta Hai
Muskuraatay Howay Wo Majmaa-e-Agyaar Ke Saath
Aaj Yun Bazm Mein Aaye Hain Ke Jee Jaanta Hai
Kaaba-o-Dair Mein Pathra Gayeen Dono Aankhain
Aisay Jalway Nazar Aaye Hain Ke Jee Jaanta Hai
Dosti Mein Teri Dar-Pardah Hamaaray Dushman
Is Qadar Apne Paraaye Hain Ke Jee Jaanta Hai
Daagh-e-Waarafta Ko Ham Aaj Tere Koochay Se
Is Tarah Khainch Ke Laaye Hain Ke Jee Jaanta Hai


Tmhara Khatt

Daag Dehlvi Poetry

Tumhare khath main naya ek salam kis ka tha
na tha raqeeb to akhir wo nam kis ka tha
Wo qatl kar ke har kisi se puchte hain
ye kaam kis ne kiya hai ye kaam kis ka tha
Wafa karenge nibhayenge baat manenge
tumhen bhi yaad hai kuch ye kalam kis ka tha
Raha na dil main wo be-dard aur dard raha
muqeem kaun hua hai maqam kis ka tha
Na pooch-paach thi kisi ki na aao-bhagat
tumhari bazm main kal ehtamam kis ka tha
Guzar gaya wo zamana kahen to kis se kahen
khayal mere dil ko subah-o-sham kis ka tha
Har ek se kahte hain kya “Daagh” bewafa nikla
ye puche in se koi wo ghulam kis ka tha


Phir shab e gham nahin mujhe

Daag Dehlvi Poetry

phir shab-e-gam ne mujhe shakl dikhai kyon kar
ye bala ghar se nikli hui ai kyon kar
tu ne ki gair se meri burai kyon kar
gar na thi dil main to lab par tere ai kyon kar
tum dilazar-o-sitamgar nahin main ne mana
man jayegi ise sari khudai kyon kar
aina dekh k vo kahne lage ap hi ap
aise achon ki kare koi burai kyon kar
kasrat-e-ranj-o-alam sun k ye ilzam mila
itne se dil main hai itnon ki samai kyon kar
dag kal tak to dua ap ki maqbul na thi
aj munh mangi murad ap ne pai kyon kar

1 comment:

  1. AoA
    Plz Add some more Gazals from Dagh Dehlvi...!
    Your doing great (Y) great gazals of every poet....
    I've never seen such great poetry on any site....!

    ReplyDelete