Mirza Ghalib Poetry

Mirza Galib Poetry is loved by urdu poetry lovers around the world. Mirza Ghalib is one of the most popular poets from pakistan. Galib’s primary topic was romance, love and sadness. We have got lots of Galib Shayari collectionfor our users.
Ghalib was born in 1797. He was undoubtedly the most popular urdu poet the world has ever seen. His shayari on love and his shayari on life are known to be the best poetries one can ever find on internet.

Be-Khudi Be-Sabab Nahi’n ‘Ghalib’..

Mirza Ghalib Poetry

Be-Khudi Be-Sabab Nahi’n ‘Ghalib’,
Kuchh To Hai Jis Ki Parda-Daari Hai…

Khulta kisi pay kya mery dil ka muamla..

Mirza Ghalib Poetry

Khulta kisi pay kya mery dil ka muamla,
Shairon k intekhab nay ruswa kia mujhy..!!

Toote hain sheesha dil haaye dil itne

Mirza Ghalib Poetry

Toote hain sheesha dil haaye dil itne ke ehl-e-dard,
Rakhte hain paaon khaak par sau baar dekh kar..

Zahid sharab peene de masjid mein beth kar..

Mirza Ghalib Poetry

Zahid sharab peene de masjid mein beth kar,
Yaa woh jagha bata jahan Khuda nahin..
(Mirza Ghalib)
Masjid khuda ka ghar hai, peeney ki jagha nahin,
Kaafir ke dil mein ja, Wahan khudaa nahin..
(Allama Iqbal)
Kaafir ke dil se aya hon mein yeh dekh kar,
Khuda maujood hai wahan, Par usey pata nahin..
(Ahmad Faraz)

Aaina kyu na doon ke tamasha kahe jise

Mirza Ghalib Poetry

Aaina kyu na doon ke tamasha kahe jise
Aisa kaha se laau ke tujhasa kahe jise
Hasrat ne la rakha teri bazm-e-khayal me
Guldasta-e-nigaah suveda kahe jise
Phoonka hai kisne goshe mohabbat mein aye khuda
Afasuun-e-intazar tamanna kahe jise
Sar par hajum-e-dard-e-garibi se daliye
Wo ek musht-e-khak ke sahara kahe jise
Hai chashm-e-tar me hasarat-e-diidar se niha
Shauq-e-ina gusekhta dariya kahe jise
Darakar hai shiguftan-e-gul haye aish ko
Sub_h-e-bahar paba-e-miina kahe jise
“ghalib” bura na man jo vaiz bura kahe
Aisa bhii koii hai ke sab achchha kahe jise

Usey khuda bana daala

Mirza Ghalib Poetry

Hum Ne Mohbaton Ky Nashe Me Aa Kr Use Khuda Bana Dala,
Hosh Tab Aaya Jab Us Ne Kaha Ky Khuda Kisi ek Ka Nahi Hota…

Tu wo zaalim

Mirza Ghalib Poetry

Tu wo zaalim hai Jo Dil mn reh kr b mera na ban Saka “Ghalib”
Aur Dil wo kafir Jo mujh mn reh kr b tera hogaya…

Shehr e Dil

Mirza Ghalib Poetry

Dukh Day Kar Sawaal Kartay ho,
Tum Bhe GHAALiB ! Kamaal Kartay ho..
Daikh Kar Pooch Liyaa haal meraa,
Chalo Kuch tou Khayaal Kartay ho..
Shehar -e- Dil may Ye Udaasiyaan Kaisi ??
Ye Bhe mujh say Sawaal Kartay ho ???
Marnaa Chaahain tou mar nahe Saktay,
tum Bhe Jeenaa muhaal Kartay ho..
ab Kiss Kiss Ki misaal Doon tum Ko ?
her Sitam Bay-misaal Kartay ho . . .

vo aaye ghar me

Mirza Ghalib Poetry

ye jo ham hijr me.n diivaar-o-dar ko dekhate hai.n
kabhii sabaa ko kabhii naamaabar ko dekhate hai.n
vo aaye ghar me.n hamaare Khudaa kii kudarat hai
kabhii ham un ko kabhii apane ghar ko dekhate hai.n

ye na thee hamaaree qismat

Mirza Ghalib Poetry

ye na thee hamaaree qismat ke wisaal-e-yaar hota
agar aur jeete rehte yahee intezaar hota
tere waade par jiye ham to ye jaan jhooT jaanaa
ke KHushee se mar na jaate agar ?eitabaar hota

ishq ne Ghalib nikammaa kar diyaa

Mirza Ghalib Poetry

Gair lei.n mehfil mei.n bose jaam ke
ham rahe.n yu.n tashna-alab paigam ke
Khat likhe.nge garche matlab kuchh na ho
ham to aashiq hai.n tumhaare naam ke
ishq ne ?Ghalib? nikammaa kar diyaa
varnaa ham bhi aadmi the kaam ke

dil ko beqaraaree hai

Mirza Ghalib Poetry

fir kuchh is dil ko beqaraaree hai
seena zoya-e-zaKHm-e-kaaree hai
Fir hue haiN gawaah-e-ishq talab
ashq_baaree ka hukm_zaaree hai
be_KHudee be_sabab naheeN ?GHalib?
kuchch to hai jiskee pardaadaaree hai?.

Ek baat pe kehte ho tum ke

Mirza Ghalib Poetry

har ek baat pe kehte ho tum ke ?too kya hai? ?
tumheeN kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai ?
na shole meiN yeh karishma na barq meiN yeh ada
koee batao ki woh shoKH-e-tund_KHoo kya hai ?
yeh rashk hai ki wo hota hai ham_suKHan tumse
wagarna KHauf-e-bad_aamozi-e-adoo kya hai ?
chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan
hamaaree jeb ko ab haajat-e-rafoo kya hai ?
jalaa hai jicm jahaaN dil bhee jal gaya hoga
kuredate ho jo ab raakh, justjoo kya hai ?
ragoN meiN dauDte firne ke ham naheeN qaayal
jab aaNkh hee se na Tapka to fir lahoo kya hai ?
woh cheez jiske liye hamko ho bahisht azeez
siwaay baada-e-gul_faam-e-mushkaboo kya hai ?
piyooN sharaab agar KHum bhee dekh looN do chaar
yeh sheesha-o-qadah-o-kooza-o-suboo kya hai ?
rahee na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhee
to kis ummeed pe kahiye ke aarzoo kya hai ?
bana hai shaah ka musaahib, fire hai itaraata
wagarna shehar meiN ?GHalib? kee aabroo kya hai ?

Har baat par kehte ho tum

Mirza Ghalib Poetry

Har baat par kehte ho tum ke tu kya hai
Tumhi batao yeh andaz-e-guftgu kya hai
ragon mai daudane ke ham nahi kayal
jo aankh hi se na tapka woh lahu kya hai
Nukta chii hai gam e dil,ke sunaya na bane
kya baat bane wahan,jahan baat banye na bane?.
ishq par zor nahi hai yeh woh attish galib
jo lagaye na lage bhujhaye na bane?
Na tha main to khuda tha,
kuch na hota to khuda hota?
mitaya mujh ko hone ne,
na hota main to kya hota
Kahu kis se ki kya kiya hai
shabe gam buri bala hai
mujhe kya bura tha marna
gar ek baar hota
Na tha kuchch to KHuda tha, kuchch na hota to KHuda hota
duboya mujhko hone ne, na hota maiN to kya hota ?
huaa jab GHam se yooN behis to GHam kya sar ke kaTne ka
na hota gar juda tan se to zaanooN par dhaRa hota
huee muddat ke ?GHalib? mar gaya par yaad aata hai
wo har ek baat pe kehana, ke yooN hota to kya hota ?

Na Tha kucH to Khuda tha

Mirza Ghalib Poetry

Na Tha kucH to Khuda tha, Kuch na hota to Khuda hota
dubooYa mujhKo hoNi ne, na hota maiN to kya hota
hua jub Gam se Yun beHis, to Gum kya sar ke katNe ka
gar juda na hota tan sE, to zannon pur dhara hota
huI muddat ki Ghalib mar gaya, puR yaaD Aata hai
woh har ek baat pe kahena, ki yooN hota to kyA hota
Reply With Quote

Hathoan ki lakiroan pay

Mirza Ghalib Poetry

Hathoan ki lakiroan pay mat ja ai Galib
Naseeb un k bi hote hain jin k hath nehen hote

her aik bat pe kehtey ho

Mirza Ghalib Poetry

her aik bat pe kehtey ho tum k tu kia he
tumhee kaho k ye andaaz-e-guftugoo kia he
jalaa he jism jahan, dil bhi jal gaya ho ga
kureydte ho jo ab raakh, justujoo kia he ?!?!?
ragon me dourrte phirne k hum nahi qayell
jo aankh hi se na tapka to phir lahoo kia he

Jahan KHUDA Nahin hai

Mirza Ghalib Poetry

Peenay dai sharab masjid main baid kay Galib
Ya woh jaga bata jahan KHUDA nehen hai !!!!

Yun hota to kya hota

Mirza Ghalib Poetry

Huyi Muddat Ke Ghalib Mar Gaya Par Yaad Aata Hai
Har Ek Baat Pe Kahna Ke Yun Hota To Kya Hota

munh par raunaq

Mirza Ghalib Poetry

unke dekhe se jo aa jaatee hai munh par raunaq
woh samajhte hain ke beemaar ka haal achcha hai

Beemar ka haal acha ha

Mirza Ghalib Poetry

Unke Dekhne se jo aa jati he muhn per roneq
Woh samajte hain k beemar ka haal acha hai !

Go haath mai janbish nahi

Mirza Ghalib Poetry

Go haath mai junbish nahi, aankho mai to dam hai
rehne do abhi saaghar-o-miina MERE aagay

Bohat bayabroo ho kar

Mirza Ghalib Poetry

Nikalna khuld say aadam ka sunte aaye hain lakin
Bohat bayabroo ho kar teray kochay say hum niklay

Itni Mulaqat Bohot Hay

Mirza Ghalib Poetry

Wo Keh Ke Chalay Itni Mulaqat Bohot Hay
Maine Kaha Ruk Jao Abhi Raat Bohot Hay
Aansoo Mere Thum Jayein To Phir Shoq Say Jana
Aisay Main Kahan JaoGi Barsaat Bohot Hay
Wo Kehne Lagi Jana Mera Bohot Zaroori Hay
Nahi Chahti Dil Todun Tera Par Majboori Hay
Gar Hui Ho Koi Khata To Maaf Ker Dena
Maine Kaha Ho jao Chup Itni Kahi Baat Bohot Hay
Samajh Gaya Hon Sab Aur Kuch Kaho Zaroori Nahi
Bas Aaj Ki Raat Ruk Jao, Jana Itna Bhi Zaroori Nahi Hai
Phir Kabhi Na Aaonga Tumhari Zindagi Mein Lot Ke
Saari Zindagi Tanhayee Ke Liye, Aaj Ki Raat Bohot Hai

Unka Milna

Mirza Ghalib Poetry

Saray raah jo unsay nazar mili?
To Naksh dil kay ubhar gaye?
Hum nazar mila kar jhijag gaye?
Vo Nazar jhuka kar chale gaye?

Duniya kareeb se

Mirza Ghalib Poetry

jab se dekhi hai hamne duniya kareeb se
lagne lage hai saare rishte ajeeb se

a ki meri jan mein qarar nahi hai

Mirza Ghalib Poetry

a ki meri jan mein qarar nahi hai
taqat-e-bedad-e-intazar nahi hai
dete hain jannat hayat-e-dahar ke badle
nasha ba andaza-e-Khumar nahi hai
giriya nikle hai teri bazm se mujh ko
haye! k rone pe ikhtiyar nahi hai
ham se abas hai guman-e-ranjish-e-khatir
khak mein ushshaq ki gubar nahi hai
dil se utha lutf-e-jalwa haye mani
gair-e-gul aina-e-bahar nahi hai
qatl ka mere kiya hai ahad to bare
waye! agar ahad ustawar nahi hai
tu ne qasam maikashi ki khai hai ?Ghalib?
teri qasm ka kuch aitabar nahi hai

Ah Ko Chahiye Ik Umr Asar Hone Tak

Mirza Ghalib Poetry

ah ko chahiye ik umr asar hone tak
kaun jita hai teri zulf k sar hone tak
dam har mauj mein hai halqa-e-sadkam-e-nahang
dekhen kya guzare hai qatre pe gauhar hone tak
ashiqi sabr-talab aur tamanna betab
dil ka kya rang karun khun-e-jigar hone tak
ham ne mana k taaful na karoge lekin
khak ho jayenge ham tum ko khabar hone tak

aina kyun na dun k tamasha kahen jise

Mirza Ghalib Poetry

aina kyun na dun k tamasha kahen jise
aisa kahan se laun k tujhsa kahen jise
hasrat ne la rakha teri bazm-e-khayal mein
guldasta-e-nigah suweda kahen jise
phunka hai kisne goshe muhabbat mein ai Khuda
afsun-e-intazar tamanna kahen jise
sar par hujum-e-dard-e-garibi se daliye
wo ek musht-e-khak k sahra kahen jise
hai chashm-e-tar mein hasrat-e-didar se nihan
shauq-e-inan gusekhta dariya kahen jise
darkar hai shiguftan-e-gul haye aish ko
subh-e-bahar panba-e-mina kahen jise
?ghalib? bura na man jo waiz bura kahe
aisa bhi koi hai k sab acha kahen jise

khana wiransazi-e-hairat tamasha kijiye

Mirza Ghalib Poetry

amad-e-khat se hua hai sard jo bazar-e-dost
dud-e-shama-e-kushta tha shayad khat-e-rukhsar-e-dost
ai dil na aqabat andesh zabt-e-shauq kar
kaun la sakta hai tab-e-jalwa-e-didar-e-dost
khana wiransazi-e-hairat tamasha kijiye
surat-e-naqsh-e-qadam hun rafta-e-raftar-e-dost
ishq main bedad-e-rashq-e-gair ne mara mujhe
kushta-e-dushman hun akhir garche tha bimar-e-dost
chashm-e-may raushan k us bedard ka dil shad hai
dida-e-pur-khun hamara sagar-e-sar-shar-e-dost

Bahot Sahi Gam E Geti Sharab Kam Kya Hai

Mirza Ghalib Poetry

bahot sahi gam-e-geti sharab kam kya hai
gulam-e-saqi-e-kausar hun mujhko gam kya hai
tumhari tarz-o-rawish jante hain ham kya hai
raqib par hai agar lutf to sitam kya hai
sukhan mein khama-e-Galib ki atashfashani
yaqin hai hamko bhi lekin ab us mein dam kya hai

bas k dushwar hai har kam ka asan hona

Mirza Ghalib Poetry

bas k dushwar hai har kam ka asan hona
admi ko bhi mayassar nahi insan hona
giriya chahe hai kharabi mere kashane ki
dar-o-diwar se tapak hai bayaban hona
wa-e-diwangi-e-shauq k har dam mujh ko
ap jana udhar aur ap hi hairan hona
jalwa azbas k taqaza-e-nigah karta hai
jauhar-e-aina bhi chahe hai mizagan hona
ishrat-e-qatlgah-e-ahal-e-tamanna mat puch
id-e-nazzara hai shamshir ka uriyan hona
le gaye khak mein ham dag-e-tamanna-e-nishat
tu ho aur ap basadrang-e-gulistan hona
ishrat-e-para-e-dil, zakhm-e-tamannakhana
lazzat-e-rish-e-jigar garq-e-namakdan hona
ki mere qatl k bad us ne jafa se tauba
haye us zodpasheman ka pasheman hona
haif us char girah kapre ki qismat ?ghalib?
jis ki qismat mein ho ashiq ka gareban hona

bazicha-e-atfal hai duniya mere age

Mirza Ghalib Poetry

bazicha-e-atfal hai duniya mere age
hota hai shab-o-roz tamasha mere age
ik khel hai aurang-e-suleman mere nazdik
ik bat hai ejaz-e-masiha mere age
juz nam nahi surat-e-alam mujhe manzur
juz waham nahi hasti-e-ashiya mere age
hota hai nihan gard mein sehra mere hote
ghista hai jabin khak pe dariya mere age
mat puch k kya hal hai mera tere piche
tu dekh k kya rang hai tera mere age
sach kahte ho khudbin-o-khudara hun na kyon hun
baitha hai but-e-aina sima mere age
phir dekhiye andaz-e-gulafshani-e-guftar
rakh de koi paimana-e-sahba mere age
nafrat ka guman guzre hai main rashk se guzra
kyon kar kahun lo nam na us ka mere age
iman mujhe rok hai jo khinche hai mujhe kufr
kaba mere piche hai kalisa mere age
ashiq hun pe mashuqfarebi hai mera kam
majnun ko bura kahti hai laila mere age
khush hote hain par wasl mein yun mar nahi jate
ai shab-e-hijaran ki tamanna mere age
hai maujzan ik qulzum-e-khun kash! yahi ho
ata hai abhi dekhiye kya-kya mere age
go hath ko jumbish nahi ankhon mein to dam hai
rahne do abhi sagar-o-mina mere age
hampesha-o-hammasharab-o-hamraz hai mera
?ghalib? ko bura kyon kaho acha mere age

2 comments:

  1. Ghalib's Dil hi toh hai na sang o khisht, all 9 couplets, rendered by me. Hope you like it.

    https://www.youtube.com/watch?v=uMr2dEKDsEc

    ReplyDelete
  2. <3¤Mardana kamzori k Elaj¤<3
    penis pump 20 din use karny se apk penis ka size bhar jy ga .
    Pinis in vimax oil serf 21 din k use karny sy apk penis ka size bhar jy ga .
    Penis in vimax cupsule apki mardana takat khui hoi ko
    pher sy bahal kary peshab k sath jo katry haty hain un ko khatam kary serf 30 din k use karny sy .
    Vigrx plus. Mardana takat k lia khas es sy apki timeng or penis ka size b bary ga .100% orignal
    maxman 2..mardana kamzori k lia apko takat de penis ka size timeng baray.
    Lorgo creem 20 din k use karny sy apk penis ka size bhar jy ga 100% Razalt
    .Largo sapry sex time zeyada kary jo log sex karty wakt jald farik o jaty hain wo largo sapry use kary
    cailis capsule . Timeng zeyada karny k .
    Shakti parash oil .penis ka size bara karny k lia serf 15 din k use karny sy apko fark mesoos o ga.
    Jaguor pawer men gil in pinis serf 23 din k use karny sy apk penis ka size bhar jy ga 100% .
    Femele drops. Larki ko garm karny k drops 5 ment me larki
    sex k lia teyar o jy.
    Vigina tghitening creem. Serf 25 din k use karny larki ki vigina tghit belkul pely ki tara .
    Vigina tghitening deblet .
    Brest creem .serf 30 din use karne sy larki k boobs bary o jy gy

    call for oder detail
    call/sms
    watsAap
    0348 92 20 610
    free home delivery All pakistan
    زنانہ و مردانہ کمزوری کا کامیاب علاج.
    100% کامیاب رزلٹ.
    ھماری ادوایات خالص جڑی بوٹیوں سے تیار شدہ ھیں.
    رابطہ نمبر
    03489220610

    ReplyDelete