Sahir Rasool Poetry

Sahir Rasool is a amateur urdu poet from Pakistan. He has come up with his first poetry book by the name of Koi Lamha Gumaa’n Ka Ho.
As always we are not going to let the internet poetry lovers miss out on this book.


Gilley hain hazaron ke badle ho kyon tum

Sahir Rasool Poetry

Gilley hain hazaron ke badle ho kyon tum,
Magar ab karain kyon gillaa ajnabi se,
Azal hai neendain ganwaaney ka silsila,
Yeh acha nahin silsila ajnabi se..


Woh hijar to deta hai judai nahin deta

Sahir Rasool Poetry

Woh hijar to deta hai judai nahin deta,
Kya tarfa tamasha hai bhujai nahin deta,
Mehsoos to hota hai rag-e-jan mein hi aksar,
Woh dard ka naghma jo sunaayi nahin deta,
Hain bhool bhulayi’an bhi ke rasta nahi milta,
Yeh sheher-e-sitam’gar hai rehayi nahin deta,
Tum ne kabhi socha hai ke parwana-e-nayab,
Khamosh hi marta hai duhaayi nahin deta,
Is dabr-e-harabat mein nuksaan yeh Sahir,
Jo deed ke kaabil hai dikhayi nahin deta..


Koi kaanta mere dil mein chubho jaye to acha hai

Sahir Rasool Poetry

Koi kaanta mere dil mein chubho jaye to acha hai,
Hamesha ke liye woh mujhse kho jaye to acha hai,
Rakhen ge is tarah dhoke se kab tak khawab ankhon mein,
Jo hona kal hai woh sab aaj ho jaye to acha hai,
Kabhi sheher-e-tamana ne kabhi kisi ne phool paaye kya,
Yeh titlee soch kar kaanton per so jaye to acha hai,
Kayi din se mere ghar ke dar-o-deewar hain viraan,
Kisi ke wasl ki baarish jo ho jaye to acha hai,
Jahan par phool khilte they wahan ab khaak urrti hai,
Mere seeney pe jugnu beej bo jaye to acha hai,
Mein pathar ho gaya hoon gham se aesa reh nahin sakta,
Agar barish mera chehera bhigo jaye to acha hai,
Yeh maana hijrtain is gaaon se zaroori hain,
Meri basti mere andar samo’o jaye to acha hai,
Mein ab ke chahta hoon yeh ke is saawan jo barish ho,
Puraney mausmon ke rang dho jaye to acha hai,
Bhanwar se bheek mangey ga? Teri fitrat nahin Sahir,
Tu kashti aap hi apni dabo’o jaye to acha hai…

0 plz comments:

Post a Comment