Waqas Mehmood Hashmi

Waqas Mehmood Hashmi is a poet from Jhelum, Pakistan. We have got plenty of Waqas Mehmood Hashmi Poetry for you to read and enjoy.

Sapney buntey buntey umar guzar gayi apni..

Waqas Mehmood Hashmi

Band aankh se sapney buntey buntey umar guzar gayi apni,
Tootey dil ke raizey chuntey chuntey umar guzar gayi apni,
Woh hum se bichar kar kese jeeta ho ga,
Bass yehi sochtey sochtey umar guzar gayi apni,
Us ki talaash main nikley, apna pata bhool gaye,
Phir khud ko khojtey khojtey umar guzar gayi apni,
Shamaa ban to gaye roshni ki khaatir,
Magar phir jaltey jaltey umar guzar gayi apni,
Uss ne anaa ki deewaar torr kar pukaara to sahi,
Lekin ruktey ruktey umar guzar gayi apni,
Ab yeh zindagi ussi ki amaanat hai Waqas,
Jiss ki raah taktey taktey umar gayi apni,,

Main tanha akela phirta raha tere sheher mein..

Waqas Mehmood Hashmi

Main tanha akela phirta raha tere sheher mein,
Qadam larrkharratey rahe, chalta raha tere sheher mein,
Teri talash main bhatakta raha galiyon mein ban ke awaara,
Pata tera har kisi se poochta raha tere sheher mein,
Ajab maseeha hai tu ke tujh ko khabar tak na huyi,
Ik mareez tera dard se tarrpta raha tere sheher mein,
Hazaron rishtey, hazaron manzilain thi mere samney,
Kon sa rasta kon si manzil meri, sochta raha tere sheher mein,
Kisi ne sahara deke bachaya, kisi ne manzil se bhatkaya,
Tamasha bani zaat meri aur mein, tamasha dekhta raha tere sheher mein,
Kabhi kanton pe chalaya geya, kabhi deke hansi rulaya geya,
Tere milney ki aas main Waqas gham sehtaa raha tere sheher mein..

Bohat koshish ki magar faasila mitaa na saka..

Waqas Mehmood Hashmi

Bohat koshish ki magar faasila mitaa na saka,
Main lamha bhar ke liye bhi us ko apnaa na saka,
Yun to zindagi ke safar mein keyi humsafar miley humko,
Lekin us ki tarah dil mein koi ghar banaa na saka,
Lagtaa tha dar mujhe tanhaai se bohat,
Shayed issi liye doston ko azmaa na saka,
Is se barh kar aur kya ho, meri mohabbat ka saboot,
Jis ne ghar jalaya mera, uss ke khat tak jalaa na saka,
Barson mene ki thi jis ke qurb ki khawhish Waqas,
Aj woh mera muntazir tha, magar mein qadam barhaa na saka..

Khawb haseen hon to tabeerain rulaa deti hain..

Waqas Mehmood Hashmi

Khawb haseen hon to tabeerain rulaa deti hain,
Hum ghareebon ko hamari taqdeerain rula deti hain,
Paro’n ko apne dekh kar azaad dil ko sakoon hota hai,
Magar paaon main parri huyi zanjeerain rulaa deti hain,
Raat ko teri yaad chain se nahi soney deti,
Din charhey to kamrey main lagi tasveerain rulaa deti hain,
Yu’n to main khaasa khush’mizaaj hoon Waqas, magar,
Kabhi kabhi teri at’aa kardaa gham ki jageerain rula deti hain..

Na chairr batain aaj hijr-o-visaal ki..

Waqas Mehmood Hashmi

Aye dost! Na chairr batain aaj hijr-o-visaal ki,
Main kese sunaa paaon ga daastan apne zawaal ki,
Kabhi waqt ke aasman pe roshan sitarey they hum,
Ab halaat ne bhula di pehchan hadh-o-haal ki..

Uljhey huye hain halaat gham-e-yaar ki tarah..

Waqas Mehmood Hashmi

Uljhey huye hain halaat gham-e-yaar ki tarah,
Zindagi guzaar to rahe hain magar ik beemar ki tarah,
Najane mere shoq-e-safar ko kis ki nazar lag gayi,
Manzil ki jaanib rawaan dawaan hoon magar ik lachaar ki tarah,
Teri be’rukhi ik tarf to us ke na milne ki umeed,
Gham-e-yaar ki bhi aksar lagta hai gham-e-rozgar ki tarah,
Yeh daulat, shohrat, izat, yehi sab to khawb tha tumhara,
Sab paa ke bhi kyon hote ho sogwaar ki tarah,
Tareef teri main kya karoon aye chehra-e-benishaan,
Zulfain raat, hont gulaab, chaand lagta hai rukhsaar ki tarah,
Woh raat bhi kitni ajeeb thi jab woh mere qareeb thi,
Main pighal raha tha mom ban kar, woh dehek rahi thi gulnaar ki tarah,
Jis ko kho diya tum ne apni nadaaniyon se Waqas,
Ab kyon tarapte ho us ke liye pancchi beqaraar ki tarah..

Kuch bhi ho apne maazi se raabta bahaal rakhna..

Waqas Mehmood Hashmi

Kuch bhi ho apne maazi se raabta bahaal rakhna,
Tum kahin bhi jaaon jaana’n apna khayal rakhna,
Main apni zaat ke sab arooj tere naam karta hoon,
Mere liye tum apne hissey ke zawaal rakhna,
Sab batain kamrey mein lage aayiney se na puch lena,
Mere liye bhi baaqi tum apne sawaal rakhna,
Be’niazi shan-e-khudawandi hai, bande ko zaib nahin Waqas,
Iss baar jo milo to tarq-e-taluq ka malaal rakhna..
(arooj;peak)(zawaal;downfall)

Apni aankhon mein mere khawab rehne do

Waqas Mehmood Hashmi

Apni aankhon mein mere khawab rehne do,
Kuch an’kahe sawalon ke jawaab rahne do,
Na milo iss tarah ke dharkane’n ho jayain be’qabu,
Abhi kuch dair zara chehre pe hijaab rehne do,
Cheen lo bhale mujhse mere jugno mere khilone,
Magar abhi zara mere hathon me kitaaab rehne do,
Na karo abyaari in gullo’n ki nafraaton ke paani se,
Abhi inke dilo’n mein mohabton ka nisaab rehne do,
Phir kabhi mile to soche’n ge kya khoya kya paya Waqas,
Abhi nayi manzil hai dono ki, purane hisaab rehne do..

Raat Us Ne Bhi Jaag Ke Guzaari Thi..

Waqas Mehmood Hashmi

Us ki aankhon ki surkhiyan de rahi hain pata,
Ke raat us ne bhi jaag ke guzaari thi,
Bistar ki silwatain bhi sunaa rahi hain daastan,
Ke hijar ki pehli raat us pe kis qadar bhaari thi,
Ab kaun karta hoga tere lab-o-rukhsaar ki tareef,
Hamare baad uljhi huyi zulf kis ne sanwaari thi,
Tu ne apna samajh ke ik baar maangi to hoti,
Jaan ki qasam, kya jaan humain jaan se pyar thi?
Daryaa ke do kinaron ki tarah sath chale per mil na sake,
Kuch woh bhi tha ana’aa parasst, kuch baghiyaana soch hamari thi,
Manzil to door na thi magar hausley qaayem na reh sake Waqas,
Kahin main thak gaya, kahin us ne himmat haari thi..

Maan – Aansu Jo Bahe To Rumaal Ban Jati Hai

Waqas Mehmood Hashmi

Waqt ki karri dhoop mein dhaal ban jati hai,
Mere aansu jo bahe’n to rumaal ban jati hai,
Jis roz maan ki duayain na samait kar mein nikloon,
Us roz yeh zindagi bhi wabaal ban jati hai,
Jo log azmat maan ki pehchaan ke chalte hain,
Taareekh mein bhi un ki misaal ban jati hai,
Maan ho agar saleeqa’mand aur ba’shaoor, Waqas,
Us ke saaye mein shakhsiyat bakamaal ban jati hai..

Meri tanhai, Meri udaasi, Meri veerani, Meri mehbooba…

Waqas Mehmood Hashmi

Aaj mera janam din tha,
Main intizar karta raha,
Din se raat ho gayi,
Aur main chalta raha,
Barish mere badan ko bhigoti rahi,
Aur tann andar hi andar jalta raha,
Magar mein chalta raha,
Intizar karta raha,
Ke shayed…
Kahin se koi jaani pehchani si awaz,
Mujhe pyar se bulaa kar kahe,
Janam din mubarak ho…
Magar aaj to har taraf balaa ka sanaata hai,
Puri basti ne mere janam ke saug mein,
Apne apne gharon mein chiragha’n nahin kiya,
Har taraf holnaak andhera tha,
Is andhere mein,
Barish ka shor,
Pato’n ki khar’kharahat,
Hawaa ki siskiyaan,
Aur bijli ki chamak ne,
Mahol ajeeb daraawna sa bana diya tha,
Mera dil ghabraa gaya,
Subah ka bhoola tha is liye,
Shaam ko ghar aagaya,
Kya dekhta hoon ke ghar ki dehleez par hamesha ki tarah,
Woh chiraag liye meri muntzir thi,
Us ne aa kar mujhe sahara diya,
Phir apne naazuk bazu’on mein samait kar,
Mujhe mere bistar tak le gayi,
Mera sar apni gaud mein rakh kar,
Mere baalon mein ungliyan pher kar mujhe sulaney lagi,
Phir dheere dheere mere kaan mein gunguney lagi,
Janam din mubarak ho,
Janam din mubarak ho,
Dunya walon se kitni achi thi,
Meri tanhai,
Meri udaasi,
Meri veerani,
Meri mehbooba…

Meri aankhon ko aur na rat’jagon ke azaab de

Waqas Mehmood Hashmi

Meri aankhon ko aur na rat’jagon ke azaab de,
Jo ho sake to ab inhain koi haseen khawab de,
Jo kaha nahin hai mene, usey samajne ki koshish to kar,
Jo pucha nahin kabhi, us sawaal ka jawaab to de,
Main apni nazar ko tere wajood ka tawaaf somp raha hon,
Tu apne hussan ko meri wafaa ka hijaab to de,
Main mareez-e-ishq hoon mujhe koi aesa nusskha-e-nayaab de,
Us ke honton ka jaam, us ki aankhon ki sharaab de,
Yu’n be’jaa farmayeshen na kar, halaat ki nazakat ko samajh Waqas,
Jo khud mohtaj hai roshni ka, woh tujhe kahan se aftaab de..

Shaam se pehle ik diya jalana chahta hoon

Waqas Mehmood Hashmi

Shaam se pehle ik diya jalana chahta hoon,
Main aaj apni mohabbat ko aazmana chahta hoon,
Yeh anaa-parast log hain andar se tootay huye,
Mein yeh baat dunya walon ko batana chahta hoon,
Teri zaat ki mehroomiyan, Tere man ki yeh udaasiyan,
Mujhe moka to de, mein inhe mitaana chahta hoon,
Tere hath mein mere rehber, Tere naksh-e-paa meri manzil ke,
Tujhe mein chilchilati dhoop mein aanchal banana chahta hon,
Cheen lo saharey mujhse, apne paraaye sarey mujhse,
Bas do hosla mujhe, mein khud ko manwaana chahta hoon,
Poocha jo yaaron ne muskurahat ka sabab to kehne laga Waqas,
Mein hansi ke pardey mein dard apna chupana chahta hoon..

Guzre dinon ki achi batain yaad rakhta hoon

Waqas Mehmood Hashmi

Guzre dinon ki achi batain yaad rakhta hoon,
Khushiyon mein bhi ashkon ki baratain sath rakhta hoon,
Mein ab aksar tanha ho kar bhi tanha nahin rehta,
Jahan bhi rahoon teri yadain sath rakhta hoon
Mujh ko kabhi zaroorat nahin pari mashk o atar ki,
Tere badn ki khushbu, teri mehkti sansain sath rakhta hoon
Kese bhool sakta hoon mein pata apne ghar ka,
Tere kadmon ke nishan, Teri ankhen sath rakhta hoon
Jo guzrey they bazu’on mein tere, Ehd o peimaan karte hoye
Woh sarey din woh sari ratain sath rakhta hoon
Woh tera mujhe se larna, roothna, Phir khud hi maan jana,
In shararton mein chupi theen jo woh mohbtain sath rakhta hon
Mehkte rangeen kaghzon ke khat, In mein se sajay gulaab sarey,
Chehre pyar ki sab yeh soghatain sath rakhta hoon
Jin per kabhi chale they hum hath mein daley hath waqas,
Mein woh sab raste, Sab raahain sath rakhta hoon…
(Ashkon:Tears)(Mashk-o-Atar:Fragrance)(Khat:Letter)(Soghatain:Things)(Raahain:Way)

Baraf-bari ka mosam iss saal bhi aaya tha

Waqas Mehmood Hashmi

Har saal ki trah
baraf-bari ka mosam
iss saal bhi aay tha
faraq sirf itna tha
ke pichle bars hum dono sath the
magar aaj…….
aaj bhi me tanha nai hon..
guzre hue kal ki sare yadain mere sath hian
magar “yadain”
“tere aaghosh ki garmi ka naimul-badal to nahi”

Safar mein guzri hai umar apni, ab ik thikhana chahiye

Waqas Mehmood Hashmi

Safar mein guzri hai umar apni, ab ik thikhana chahiye
Ke zinda rehne ko koi tou bahana chahiye
Koi tou ho jo in rasmon se elaan-e-baghawat kare
Kahin tou andhere mein koi chirag jalana chahiye
Kab se veeran para hai yeh ayina – e – dil
Sochta hoon ab koi neya chehra sajana chahhiye
Bohat muddat se muntazir hai mere des ki matti
Shayed ke ab mujhe laut ke ghar jana chahiye
Mujhe fakat usi ke sath ki tamana thi waqas
Magar usey mere sath sath sara zamana chahiye

0 plz comments:

Post a Comment