Nikhat Iftikhar Poetry

Nikhat iftikhar is here. All the Nikhat iftikhar Shayari is here to read. We have collected Nikhat iftikhar shayari from all over the world. Read all the Nikhat iftikhar here.


Shok ko aazim-e-safar rakhiye

Nikhat Iftikhar Poetry

Shok ko aazim e safar rakhiye
Be khabar ban ke sab khabar rakhiye
Chahey nazren hon asmanon per
Paon lekin zameen per rakhiye
Mujhko dil mein agar basaana hai
Aik sehra ko apne ghar rakhiye
Koi nasha ho toot jata hai
Kab talak kkhud ko bekhbar rakhiye
Janey kis wakt kooch karna ho
Apna samaan mukhtasir rakhiye
Dil ko khud dil se raah hoti hai
Kis liye nam a bar rakhiye
Baat hai kya yeh kon parkhey ga
Aap lehjey ko pur-asar rakhiye
Aik tuk mujhko dekhe jati hain
Apni nazron pe kuch nazar rakhiye


Meri chahat ki bohat lambi saza do

Nikhat Iftikhar Poetry

Meri chahat ki bohat lambi saza do mujhko
Karb e tanhai mein jeeney ki dua do mujheko
fun tumhara tou kisi aur se mansooh howa
koi meri hi ghazal hi akar suna do mujhko
Haal behaal hai, tareek hai mustakbil bhi
Ban pare tum se tou maazi mera la do mujhko
Akhri shama hoon mein bazm e wafa ko logo
Chahey jalne dou mujhe chahe bujha do mujhko
Khud ko rakh ko mein kahin bhool gayi hon shayed
Tum meri zaat se aik bar mila do mujh ko

0 plz comments:

Post a Comment