Mein us ki yaad ko dil mein bahaal rakhta tha..

Arshad Malik Poetry

Mein us ki yaad ko dil mein bahaal rakhta tha,
Khud apne aap se zeyada kheyal rakhta tha,
Zara si baat pe woh mujhse rooth jata tha,
Main us se pyar ka rishta bahaal rakhta tha,
Sambhaal rakhti thi ik khawhish-e-wisaal mujhe,
Woh hijar deta tha, mujh ko niddhaal rakhta tha,
Main kitne qurb se guzra hoon kya pata us ko,
Woh shakhs mujh ko bohat pur’malaal rakhta tha,
Mujhe to dost mere maaar gaye Arshad,
Main bach geya hoon ke himmat kamaal rakhta tha..


Sirf itna nahin dil dukhaa kar geya..

Arshad Malik Poetry

Sirf itna nahin dil dukhaa kar geya,
Sara jeewan woh mera sazaa kar geya,
Jis ki tu raah takta hai sham-o-sehar,
Sab hawaley woh tere bhalaa kar geya,
Phool, khushbu, chaman, chand, taarey, sabaa,
Saarey sathi woh hum se khafaa kar geya,
Tu kahan aur yeh bewafayi kahan,
Yeh zamana tujhe bewafaa kar geya,
Sab darakhton pe kuch kuch likha reh geya,
Naam aese woh mera mitaa kar geya,
Yaad meri sataaye gi shab bhar usey,
Aaj din bhar humain jo sataa kar geya,
Yeh bhi mumkin hai Arshad na lottay kabhi,
Jo humain chaar din ka bataa kar geya..


Koi baat aesi kiya karo, koi lafz aesa likha karo..

Arshad Malik Poetry

Koi baat aesi kiya karo, koi lafz aesa likha karo,
Miley jis se dil ko qaraar sa, koi shair aesa parhaa karo,
Sadaa dukh main hi na rakha karo, kabhi sukh bhi us ko diya karo,
Yeh udaas hai keyi roz se, mere dil main aa ke raha karo,
Jo kathan kathan se hain rastey, yeh sabhi hain kyon mere wastey,
Yeh jo jal raha hoon main aag main kabhi tum bhi is mein jala karo,
Mujhe ab bhi tumhari hi aas hai, mera dil tumhare hi paas hai,
Hai yeh jaan tere hissaar mein is se meri jaan rihaaa karo,
Mera din ho ya meri raat ho, tere hath mein mera hath ho,
Abhi jese tum mere sath ho, yunhi sath mere chalaa karo..


Jeeti baazi haara hoon, Ab main toota taara hoon..

Arshad Malik Poetry

Jeeti baazi haara hoon,
Ab main toota taara hoon,
Sehraa hoon ik jaltey dukh ka,
Main ik gham ka dhaara hoon,
Sachaayi ka shola dil main,
Main jalta hua angaara hoon,
Galiyon galiyon dhoondon tujh ko,
Main bhi ik banjaara hoon,
Arshad meri qeemat kya hai,
Main matti hoon, gaara* hoon..
(gaara;cement)


Hawaa ke sath chalte ja rahe ho..

Arshad Malik Poetry

Hawaa ke sath chalte ja rahe ho,
Bohat aagey nikalte ja rahe ho,
Chale jao magar yeh to bata do,
Yeh rastey kyon badalte ja rahe ho,
Khud apne hath se yeh khat jalaye,
To ab kyon hath maltey ja rahe ho,
Humain samjhaa rahe ho pyar se tum,
Suno! tum bhi badaltey ja rahe ho,
Uthaa kar bojh kandhon per jafaa ka,
Suna hai phir sambhaltey ja rahe ho,
Lagi ho koi chott dil par jaise,
Utha kar dard chalte ja rahe ho,
Barhaa kar dosti suraj se Arshad,
Ghanney saaye main chalte ja rahe ho..


Tujhe sochte hain gulaabon ko le ker..

Arshad Malik Poetry

Tujhe sochte hain gulaabon ko le ker,
Khayalon main kitne saraabon ko le ker,
Teri ankh mein doob janey se pehle,
Bohat sochtey hain sharabon ko le ker,
Mujhe chahtey ho kahan se kahan tak,
Yehi sochtey hain jawabon ko le ker,
Mujhe apni chahat ki aghosh de do,
Kahan jaaon ga apne khawbon ko le ker,
Mujhe us ne apna na maana to Arshad,
Kahin ja basoon ga kharaabon ko le ker..


Kab kare kis se kare ishq ka peimaan koi..

Arshad Malik Poetry

Kab kare kis se kare ishq ka peimaan koi,
Jaan! muddat se nahin dekha hai jaanan koi,
Dil behelta nahin phailay huye viraanon main,
Koi le aye, kisi sheher se jaanan koi,
Zindagi, teri inaayat pe nichaawar kardi,
Phir bhi rehta hai to bata tera ehsaan koi,
Koi pagal koi wehshi kabhi dekha kab tha,
Kese hota na mere roop se hairaan koi,
Jitni yadain hain teri, sath liye phirta hoon,
Ab mere pass nahin baaki hai samaan koi,
Kese utrey gi thakkan jism ki phir shaam ke baad,
Raat utri na ho jis sheher mein asaan koi..


Mohabbat mein yeh gham kyon sath miltey hain..

Arshad Malik Poetry

Kaha us ne mohabbat mein yeh gham kyon sath miltey hain,
Kaha mene yeh kantey phool bhi to sath paltey hain,
Kaha us ne ke lamhey pyar ke kyon kam se hotey hain,
Kaha mene ke khushbu kab hamesha sath deti hai,
Kaha us ne ghamon se kyon is qadar pyar karte ho,
Kaha mene yehi to hain jo apna sath dete hain,
Kaha us ne bichar jayen agar hum to acha hai,
Kaha mene tum apni bheegti palkain zara dekho,
Kaha us ne ke kitna chahtey ho tum mujhe Arshad,
Kaha mene samandar ki kabhi gehraayi dekhi hai..


Kattoti ho rahi hai lamha lamha..

Arshad Malik Poetry

Kattoti ho rahi hai lamha lamha,
To kya yeh zindgaani lease per hai..


Roshni kar raha hai is dil mein..

Arshad Malik Poetry

Roshni kar raha hai is dil mein,
Ik diya sa jala hai is dil mein,
Dar hai aankhen na phir chalak jayen,
Ik kaanta chubha hai is dil mein,
Jis ke saarey makaan khali hain,
Sheher aesa basaa hai is dil mein,
Gungunaane lagi hain saansain bhi,
Koi rehne laga hai is dil mein,
Koi jis ka nahin ilaaj Arshad,
Dard aesa uthaa hai is dil mein..


Tumhari yaadon ka aik taara – I miss you.

Arshad Malik Poetry

Tumhari yaadon ka aik taara sa jhil’milata hai, i miss you,
Udaas raton mein dil akela tumhain bulaata hai, i miss you,
Jab aasman par dhannak ka manzar tamaam rangon ke sath aye,
To aese aalam mein naam tera labo’n pe ata hai, i miss you,
Kabhi jo baarish ki tezz boondain tere tasawur mein nachti hain,
To aese aalam mein tera Arshad bhi gungunaata hai, i miss you..


Faisla kar ke badal jate hain

Arshad Malik Poetry

Faisla kar ke badal jate hain,
Roz kehte bhulaa dain tum ko..


Tere lehje mein jaadu hai kuch aesa..

Arshad Malik Poetry

Tere lehje mein jaadu hai kuch aesa,
Mujhe sun’ne ki aadat ho gayi hai..


Ik Ik Zakham Dikhaaon Tum Aao To..

Arshad Malik Poetry

Ik ik zakham dikhaaon tum ko aao to,
Kese kese phool khile hain dekho to,
Sheiron jese jhilmil karte lamhon mein,
Kangan ghazlon ka pehnaaon aao to,
Hanste gaatey logon ki is dunya mein,
Hum kyon itne chup rehte hain socho to,
In chahat ki tarsi pyassi ankhon mein,
Sapnon ka ik sheher bassaa hai dekho to,
Janaan in dunya walon ki nazaron se,
Door kahin le jaaon tum ko aao to,
Ik ik kar ke sare saathi chorr gaye,
Tum bhi raah badal sakte ho chaho to,
Deewana sab log samajhne lagte hain,
Arshad bass khamosh raho ghar aao to..


Ab phool yeh wafaon ke chunta nahin koi

Arshad Malik Poetry

Ab phool yeh wafaon ke chunta nahin koi,
Guldaan udaas they usey takta nahin koi,
Gham baantne ki aas pe na rehna dosto,
Auron ki aag mein yahan jalta nahin koi,
Yu’n roshni ne khalaq se cheena hai aitbar,
Tareekiyon se ab yahan darta nahin koi,
Dunya to teri yaad ka paikar bhi cheenti,
Sad-shukar is pe dastaras rakhta nahi koi,
Wakif hain is safar ki sau’bat se sarey log,
Is raah-guzaar e ishq pe chalta nahin koi,
Dukh ki kisi sadaape paltey nahin hain hum,
Seenay mein ab to dard bhi uthta nahin koi..

Kash tu mujh ko mil gayi hoti..

Arshad Malik Poetry

Zindagi rukh badal gayi hoti,
Kash tu mujh ko mil gayi hoti,
Zindagi ko galey laga leta,
Har tamana pighal gayi hoti,
Kash tu mujh ko mil gayi hoti,
Khawab palkon pe mein sajaa leta,
Tujh ko seeney se mein laga leta,
Apne dil mein tujhe basaa leta,
Meri kismat badal gayi hoti,
Kash tu mujh ko mil gayi hoti,
Aahh nikle gi hont si loon ga,
Jis tarah ho sake ga jee lon ga,
Zeher bhi hanste hanste pee loon ga,
Gham ki yeh dhoop dhal gayi hoti,
Kash tu mujh ko mil gayi hoti,
Ab tere gham ko dil mein paloon ga,
Haan judai ka zakham kha loon ga,
Maut ko bhi galey laga loon ga,
Maut bhi aa ke tall gayi hoti,
Kash tu mujh ko mil gayi hoti..

Bichar gaya hai jo ab us ka malaal kya karna.

Arshad Malik Poetry

Bichar gaya hai jo ab us ka malaal kya karna,
Ab us ki yaad mein jeena muhaal kya karna,
Mein janta hoon ke woh bewafa na maaney ga,
Wohi jawab miley ga, Sawal kya karna,
Tu hijar de gaya aur pyar ko bhula betha,
Woh bewafa tha ab us ka khayal kya karna,
Usey bhulana hi Arshad teri bhalayi hai,
Dil-e-tabaah ko ab hasta haal kya karna..

Bohat socha nahin karte..

Arshad Malik Poetry

Suno yu’n umar ghat’ti hai,
Bohat socha nahin karte,
Mohabbat karke aayina,
Bohat dekha nahin karte,
Yu’n hathon ki lakeeron ko,
Bohat chooma nahin karte,
Kisi dil men woh kehta hai,
Bohat thehra nahin karte,
Jo khud apna ho aayina,
Usey dhundla nahin karte,
Jahan tareek sochain hon,
Wahan chamka nahin karte,
Jo aansu dil se ubhre hon,
Unhe roka nahin karte,
Akele khud to rehte hain,
Nahin tanha nahin karte,
Kisi ke hijar mein Arshad,
Bohat jaaga nahin karte,
Suno yu’n umar ghat’ti hai,
Bohat socha nahin karte,

Zahir kisi surat bhi kahin naam na karna..

Arshad Malik Poetry

Zahir kisi surat bhi kahin naam na karna,
Hain log bohat khaas humain aam na karna,
Janey ki ijazat to diye dete hain lekin,
Raste main kahin aate huye shaam na karna,
Kuch roz se yeh haal hai chahat mein tumhari,
Bekaar parre rehna koi kaam na karna,
Main bhi na dikhaon ga sar-e-raah girebaan,
Tum bhi mere waadon ko sar-e-aam na karna,
Is shart pe hai tark-e-taluq ki ijazat,
Badnaam zamane mein mera naam na karna,
Hum log palat aaney ki haatir nahin jate,
Wa sham ke baad apne dar-o-baam na karna,
Yadon ka nasha hosh urra deta hai Arshad,
Saaqi se kaho samne ab jaaam na karna..

Hanste huye logon ko rulaya nahin karte..

Arshad Malik Poetry

Hanste huye logon ko rulaya nahin karte,
Hum apna koi zakham dikhaya nahin karta,
Ik bar jisy apni nigahon se gira dain,
Phir us ko kabhi dil mein basaya nahin karte,
Us sakhs se mil kar mujhe ehsas hua hai,
Jo pairr barre hote hain saaya nahin karte,
Rakhte hain unhe hum sadaa seeney se laga kar,
Dukh apna kisi ko bhi sunaya nahin karte,
Yeh khel mohabbat ka hai phir soch lo Arshad,
Kho dete hain yahan sab kuch paaya nahin karte..



0 plz comments:

Post a Comment