Hijr Ki Pehli Shaam Ke Saaye Door Ufaq Tak Chhaaye Thay

Qateel Shifai Poetry

Hijr Ki Pehli Shaam Ke Saaye Door Ufaq Tak Chhaaye Thay
Ham Jab Os Ke Seher Se Niklay Sab Raastay Saath Laye Thay
Jaanay Wo Kia Soch Raha Tha Apne Dil Mein Saari Raat
Pyaar Ki Baatain Kartay Kartay Os Ke Nain Bhar Aaye Thay
Mere Andar Chali Thi Aandhi Theek Osi Din Pat Jharr Ki
Jis Din Apne Jorray Mein Os Ne Kuch Phool Sajaaye Thay
Os Ne Kitnay Pyaar Se Apna Kufar Dia Nazraanay Mein
Ham Apne Emaan Ka Sodaa Jis Se Karnay Aaye Thay
Kaisay Jati Mere Badan Se Beetay Lamhon Ki Khushbuu
Khwaabon Ki Is Basti Mein Kuch Phool Mere Hamsaaye Thay
Kaisa Pyaara Manzar Tha Jab Dekh Ke Apne Saathi Ko
Pairr Pe Bethi Ek Chirrya Ne Apne Per Phailaaye Thay
Rukhsat Ke Din Bheegi Aankhon Os Ka Wo Kehna Haye “Qateel”
Tum Ko Lout Hee Jana Tha Tou Is Nagri Mein Kiun Aaye Thay


Yeh mojza bhi muhabbat kabhi dikhaye mujhe..

Qateel Shifai Poetry

Yeh mojza bhi muhabbat kabhi dikhaye mujhe..
Kay sang tujh pe girain aur zakham aye mujhe..
Main ghar se teri tamanna jub pehan k niklun..
Barhana shehr main koe nazar na aye mujhe..
Wo mera dost hai saray jahan ko hai maloom..
Dagha karay wo kisi se to sharm aye mujhe..
Wo mehrbaan hai to iqraar kyu nahi kerta..
Wo bdguman hai to so bar azmaye mujhe..
Main apni zaat main neelam horaha hun QATEEL,
Gham-e-hayaat se keh do k kharid laye mujhe..


Ho na ho yeh koi sach bolney wala hai..

Qateel Shifai Poetry

Ho na ho yeh koi sach bolney wala hai Qateel,
Jis ke hathon mein qalam, paon mein zanjeerein hain..


Tere mehndi lage hathon pe mera naam likha hai..

Qateel Shifai Poetry

Tere mehndi lage hathon pe mera naam likha hai,
Zara se lafzz main kitna paighaam likha hai,
Yeh teri shaan ke shayaa’n nahin lekin majboori,
Teri masti bhari ankhon ko mene jaam likha hai,
Main shayar hoon, magar agey na barh paya riwayat se,
Labon ko pankhrri*, zulfon ko mene shaam likha hai,
Mujhe maut aaye gi jab bhi tere pehluu main ayegi,
Tere gham ne bohat acha mera anjaam likha hai,
Meri qismat mein hai ik din griftaar-e-wafaa hona,
Mere chehre pe tere pyaar ka ilzaam likha hai,
Qateel ik khubsurat buut* hai, main jis ka pujaari* hoon,
Mere mazhab ke khaaney mein magar Islam likha hai..
(pankhrri;petal)(buut;idol)(pujaari;worshiper)


Siskian Leti Howi Ghamgeen Hawaon, Chup Raho

Qateel Shifai Poetry

Siskian Leti Howi Ghamgeen Hawaon, Chup Raho
So Rahain Hain Dard, In Ko Mat Jagao, Chup Raho
Raat Ka Pathar Na Pighlay Ga Shuaaon Ke Bagair
Subaah Honay Tak Na Bolo Ham Nawao, Chup Raho
Band Hain Sab Mai Kaday, Saaqi Banay Hain Mohtasib
Ay Garajti Goonjti Kaali Ghataaon,Chup Raho
Tum Ko Hai Maaloom Aakhir Kon Sa Mausam Hai Ye
Fasl-e-Gul Aanay Talak Ay Khushnawao, Chup Raho
Soch Ki Deewaar Se Lag Kar Hain Gham Baithay Howay
Dil Mein Bhi Naghma Na Koi Gungunao, Chup Raho
Chhat Gaye Haalaat Ke Baadal Tou Dekha Jaaye Ga
Waqt Se Phele Andhairay Mein Na Jao, Chup Raho
Kiun Shareek-e-Gham Banaatay Ho Kisi Ko Ay “Qateel” ?
Apni Sooli Apne Kaandhay Per Uthaao, Chup Raho


Teri khushbuu meri saanson main basaaney aye.

Qateel Shifai Poetry

Teri khushbuu meri saanson main basaaney aye,
Dil ki dunya mein baharon ke zamaney aaye,
Yeh alag baat hai ke tabeer na de sath mera,
Khawb to jitne bhi aaye woh suhaaney aye,
Woh hai maghroor magar pyar se majboor bhi,
Khud hi naraaz kare khud hi mananey aaye,
Kyon tarss aya hai us ko meri tanhai par,
Woh mujhe meri nazar se na giraaney aye,
Woh bataye na mujhe apne bicharne ka sabab,
Us se keh do woh mera dil na jalaney aye,
Pyaar kya hota hai ab tak mujhe maloom na tha,
Chott khayi to mere hosh thikaaney aye,
Jo mera dil bhi sajaa de mere chehre pe Qateel,
Woh mussawar* meri tasveer bananey aye..
(mussawar;painter)


Lamha Bhar Apna Hawaon Ko Bananay Waalay

Qateel Shifai Poetry

Lamha Bhar Apna Hawaon Ko Bananay Waalay
Ab Na Aayein Ge Palat Kar Kubhi Jaanay Waalay
Kia Milay Ga Tujhe Bikhray Howay Khwaabon Ke Siwa ?
Ay Rait Pe Chaand Ki Tasveer Banaanay Waalay
Sab Ne Pehna Tha Baday Shoq Se Kaghaz Ka Libaas
Jis Qadar Loog Thay Baarish Mein Nahaanay Waalay
Mar Gaye Hum Tou Ye Qutbay Pe Likha Jaye Ga
So Gaye Aap Zamaanay Ko Jagaanay Waalay
Dar-o-Deewaar Pe Hasrat Si Barasti Hai “Qateel”
Jaanay Kis Dais Gaye Pyaar Nibhaanay Waalay ?


Sab Apni Zaat Ke Karb-o-Balaa Ki Qaid Mein Hain

Qateel Shifai Poetry

Sab Apni Zaat Ke Karb-o-Balaa Ki Qaid Mein Hain
Aur Ek Hum Ke Jo Ab Tak Wafaa Ki Qaid Mein Hain
Koi Khabar Hai Safar Ki Na Manzilon Ka Pata
Hamain Tou Umer Howi Rehnuma Ki Qaid Mein Hain
Thakay Tou Nazarain Chhurra Laaye Aasmaanon Se
Magar Wo Lab Ke Jo Ab Tak Duaa Ki Qaid Mein Hain
Nazar Howi Hai Ba-Mushkil Sakoot Se Maanoos
Samaa’tain Tou Abhi Tak Sadaa Ki Qaid Mein Hain
Saraab Hain Sabhi Aazaadiaan Fizaaon Ki
Kaheen Parinday Kaheen Par Hawaa Ki Qaid Mein Hain
Jab Apne Jaisi Hee Makhlooq Ke Shikanjay Se
Howay Rihaa Tou Ye Dekha Khuda Ki Qaid Mein Hain


Guzray Dinon Ki Yaad Barasti Ghata Lagay

Qateel Shifai Poetry

Guzray Dinon Ki Yaad Barasti Ghata Lagay
Guzrun Jo Os Ki Gali Se Tou Thandi Hawa Lagay
Mehmaan Ban Ke Aaye Agar Kisi Roz Wo Shakhs
Is Roz Bin Sajaaye Mera Ghar Sajaa Lagay
Mein Is Lye Manaata Nahi Vasl Ki Khushi
Mere Raqeeb Ki Na Mujhe Bad-Dua Lagay
Wo Qehat Dosti Ka Parra Hai Ke In Dinon
Jo Muskura Ke Baat Karay Aashna Lagay
Tark-e-Wafaa Ke Baad Ye Oski Adaa “Qateel”
Mujh Ko Sataaye Koi Tou Osko Bura Lagay


Be’chain Umangon Ko Behlaa Ke Chale Jana

Qateel Shifai Poetry

Be’chain umangon ko behlaa ke chale jana,
Hum tum ko na rokain ge bass aa ke chale jana,
Milne jo na aaye tum, thi kaun si majboori,
Jhoota koi afsaana, dohraa ke chale jana,
Jo aag lagi dil main, woh sard na ho jaye,
Bhujte huye sholo’n ko bharrkaa ke chale jana,
Ujrri nazar ati hai jazbaar ki haryaali,
Tum us pe koi baadal barsaa ke chale jana,
Furqat ki aziyaat mein, kuch sabar bhi laazim hai,
Yeh baat mere dil ko samjhaa ke chale jana,
Shayed ke behel jaye, deewana Qateel Is se,
Tum koi neya vaada farmaa ke chale jana..


Kar Sake Ga Na Koi Meri Tarah Pyaar Tujhe..

Qateel Shifai Poetry

Keh rahi hai mere jazbaat ki jhankaar tujhe,
Kar sake ga na koi meri tarah pyaar tujhe,
Raqss karti hai tere khoon mein meri khushbu,
Kya lubhaaye gi kisi phool ki mehkaar tujhe,
Woh baddan aik hi mar’mar se taraashey jis ne,
Main ne paaya usi fankaar ka shaahkar tujhe,
Shayed ab chup na sake raaz-e-mohabbat mera,
Main ne chup reh ke sadaa di hai kayi baar tujhe..


Har Be-Zabaa.n Ko Shola-e-Nawaa Keh Lia Karo

Qateel Shifai Poetry

Har Be-Zabaa.n Ko Shola-e-Nawaa Keh Lia Karo
Yaaro Sakoot Hee Ko Sadaa Keh Lia Karo
Khud Ko Faraib Do Ke Na Ho Talkh-e-Zindagi
Har Sangdil Ko Jaan-e-Wafaa Keh Lia Karo
Gar Chaahtay Ho Khush Rahain Kuch Bandagaan-e-Khaas
Jitnay Sanam Hain Un Ko Khuda Keh Lia Karo
Insaan Ka Agar Qad-o-Qaamat Na Barh Sakay
Tum Osko Nuqs-e-Aab-o-Hawa Keh Lia Karo
Apnay Lye Ab Ek Hee Raah-e-Nijaat Hai
Har Zulm Ko Razaa-e-Khuda Keh Lia Karo
Le De Ke Ab Yehi Hai Nishaan-e-Ziyaa “Qateel”
Jab Dil Jalay Tou Os Ko Dia Keh Lia Karo


Jub Tasawwur Mera Chhupkay Se Tujhe Chhuu Aaye

Qateel Shifai Poetry

Jub Tasawwur Mera Chhupkay Se Tujhe Chhuu Aaye
Apni Har Saans Se Mujh Ko Teri Khushbuu Aaye
Mashgala Ab Hai Mera Chaand Ko Taktay Rehna
Raat Bhar Chain Na Mujh Ko Kisi Pehluu Aaye
Jub Kubhi Gardish-e-Douraan Ne Sataaya Mujh Ko
Meri Jaanib Tere Phailay Howay Bazoo Aaye
Jub Bhi Socha Ke Shab-e-Hijr Na Hogi Roshan
Mujh Ko Samjhanay Teri Yaad Ke Jugnuu Aaye
Mujh Se Milnay Ko Sar-e-Shaam Koi Saaya Sa
Tere Aangan Se Chalay Aur Lab-e-Juu Aaye
Os Ke Lehjay Ka Asar Tou Hai Badi Baat “Qateel”
Wo Tou Aankhon Se Bhi Karta Howa Jadoo Aaye


Milkar Juda Huey Tou Na Soya Karenge Hum

Qateel Shifai Poetry

Milkar Juda Huey Tou Na Soya Karenge Hum
Ek Doosre Ki Yaad MeiN Roya Karenge Hum
aaNsoo Chalak Chalak Ke Sataayenge Raath Bhar
Moti Palak Palak MeiN Piroyaa Karenge Hum
Jab DooriyoN Ki Yaad DiloN Ko Jalaayegi
JismoN Ko Chaandni MeiN Bhigoya Karenge Hum
Ban Kar Ik Bazm Ka Mauzu-e-Guftugu
Jismon Ko Chaandni Mein Bhigoya Karain Ge Hum
Majbooriyon Ke Zeher Se Karlain Ge Khudkushi
Ye Buzdili Ka Jurm Bhee Goya Karain Ge Hum
Dil Jal Raha Hai Zard Shajar Dekh Dekh Kar
Ab Chaahaton Ke Beej Na Boya Karain Ge Hum
Gar De Gaya Daga HameN Toofan Bhi ‘Qateel’
Sahil Pe KashtiyoN Ko Dooboya Karenge Hum


Wo Dil Hee Kia Tere Milnay Ki Jo Dua Na Karay

Qateel Shifai Poetry

Wo Dil Hee Kia Tere Milnay Ki Jo Dua Na Karay
Mein Tujh Ko Bhool Ke Zinda Rahuun Khuda Na Karay
Rahay Ga SaathTera Pyaar Zindagi Ban Kar
Ye Aur Baat, Meri Zindagi Wafa Na Karay
Ye Theek Hai Nahi Marta Koi Judaai Mein
Khuda Kisi Se Kisi Ko Magar Judaa Na Karay
Suna Hai Osko Mohabbat Duaaein Deti Hai
Jo Dil Pe Chot Tou Khaaye Magar Gila Na Karay
Bujha Dia Hai Naseebon Ne Mere Pyaar Ka Chaand
Koi Dia Meri Palkon Pe Ab Jala Na Karay
Zamana Dekh Chuka Hai Parakh Chuka Hai
“Qateel” Jaan Se Jaaye Per iLtijaa Na Karay

Sadma Tou Hai Mujhe Bhi Ke Tujh Se Judaa Hun Mein

Qateel Shifai Poetry

Sadma Tou Hai Mujhe Bhi Ke Tujh Se Judaa Hun Mein
Laikin Ye Sochta Hun Ke Ab Tera Kia Hun Mein ?
Bikhra Para Hai Tere Hee Ghar Mein Tera Wajood
Bekaar Tujhe Mehfilon Mein Dhoondta Hun Mein
Mein Khudkushi Ke Jurm Ka Karta Hun Aitraaf
Apnay Badan Ki Qabar Mein Kab Se Gada Hun Mein
Kis Kis Ka Naam Laun Zaban Par Ke Tere Sath
Har Roz Ek Shakhs Naya Dekhta Hun Main
Na Jane Kis Ada Se Liya Tune Mera Naam
Duniya Samajh Rahi Hai Ke Sab Kuch Tera Hun Main
Le Mere Tajrubon Se Sabak Ae Mere Raqib
Do Char Sal Umr Mein Tujhse Bara Hun Main
Jaaga Howa Zameer Wo Aaina Hai “Qateel”
Sonay Se Pehlay Roz Jisay Dekhta Hun Mein

Apne Honton Pe Sajana Chahta Hun

Qateel Shifai Poetry

Apne Honton Pe Sajana Chahta Hun
Aa Tujhe Mein Gungunana Chahta Hun
Koi Aansuu Tere Daaman Pe Gira Ke
Boond Ko Moti Banana Chahta Hun
Thak Gaya Mein Yaad Kartay Kartay Tujh Ko
Ab Tujhe Mein Yaad Aana Chahta Hun
Aakhri Hichki Tere Zaano Pe Aaye
Mout Bhee Shayarana Chahta Hun
Reh Gayi Thi Kuch Kami Ruswaayion Mein
Phir “Qateel” Oske Dar Pe Jaana Chahta Hun

Pyaas Wo Dil Ki Bujhaanay Kubhi Aya Bhee Nahee

Qateel Shifai Poetry

Pyaas Wo Dil Ki Bujhaanay Kubhi Aya Bhee Nahee
Kaisa Baadal Hai Jis Ka Koi Saaya Bhee Nahee ?
Be-Rukhi Is Se Badi Aur Bhalaa Kia Hogi ?
Ik Muddat Se Hamain Osne Sataaya Bhee Nahee
Roz Aata Hai Dard-e-Dil Pe Wo Dastak Dene
Aaj Tak Ham Ne Jisay Paas Bulaaya Bhee Nahee
Sun Lia Kaisay Khudaa Jaanay Zamaanay Bhar Ne ?
Wo Fasaana Jo Kubhi Ham Ne Sunaaya Bhee Nahee
Tum Tou Shayar Ho Qateel Aur Wo Ik Aam Sa Shakhs
Osne Chaaha Bhee Tujhe Aur Jataaya Bhee Nahee

Tumhaari Anjuman Se Uth Kar Deewaanay Kahan Jaatay

Qateel Shifai Poetry

Tumhaari Anjuman Se Uth Kar Deewaanay Kahan Jaatay ?
Jo Waabasta Howay Tum Se Wo Afsaanay Kahaan Jaatay ?
Nikal Kar Dair-o-Kaaba Se Agar Milta Na Maikhaana
Tou Thukraaye Howay Insaan Khuda Jaanay Kahaan Jaatay ?
Tumhaari Be-Rukhi Ne Laaj Rakh Li Baadaah Khaanay Ki
Tum Aankhon Se Pila Daitay Tou Paimaanay Kahaan Jaatay?
Chalo Acha Howa, Kaam Aagayi Deewaangi Apni
Wagarna Ham Zamaanay Bhar Ko Samjhaanay Kahaan Jaatay ?
“Qateel” Apna Muqaddar Gham Se Begaana Agar Hota
Tou Apnay Paraaye Hum Se Pehchaanay Kahaan Jaatay ?

Garmi-e-Hasrat-e-NaKaam Se Jal Jaatay Hain

Qateel Shifai Poetry

Garmi-e-Hasrat-e-NaKaam Se Jal Jaatay Hain
Ham Charaaghon Ki Tarah Shaam Se Jal Jaatay Hain
Shamaa Jis Aag Mein Jalti Hai Numaaish Ke Lye
Ham Isi Aag Mein Gumnaam Se Jal Jaatay Hain
Khud-Numaayi Tou Nahee Shewa-e-Arbaab-e-Wafa
Jin Ko Jalna Ho Wo Aaraam Se Jal Jaatay Hain
Bach Nikaltay Hain Agar Aatish-e-Sayyaal Se Ham
Shola-e-Aariz-e-Gulfaam Se Jal Jaatay Hain
Jab Bhee Aata Hai Mera Naam Tere Naam Ke Saath
Jaanay Kiun Loog Mere Naam Se Jal Jaatay Hain ?

Mein Oska Dost Hun, Wo Aitraaz Karta Tha..

Qateel Shifai Poetry

Mein Oska Dost Hun, Wo Aitraaz Karta Tha
Magar Wo Baatain Bhee Mere Khilaaf Karta Tha
Suna Hai Gir Ke Mera Baadalon Ki Seerhi Se
Wo Aasmaan Ki Chhat Mein Shigaaf Karta Tha
Kamaal Hai Ke Howa Wo Bhee Nazar-e-BeKhabari
Jo Hum Pe Roz Naye Inkishaaf Karta Tha
Wo Qatal Ho Gaya Badsooraton Ki Mehfil Mein
Jo Saaray Sheher Ke Aainay Saaf Karta Tha

Wo Shaks Ke Mein Jis Se Mohabbat Nahee Karta..

Qateel Shifai Poetry

Wo Shaks Ke Mein Jis Se Mohabbat Nahee Karta
Hansta Hai Mujhe Dekh Ke, Nafrat Nahee Karta
Ghar Waalon Ko Ghaflat Pe Sabhi Kous Rahay Hain
Chooron Ko Magar Koi Malaamat Nahee Karta
Detay Hain Ujaalay Mere Sajdon Ki Gawaahi
Mein Chhup Ke Andheron Mein Ibaadat Nahee Karta
Bhoola Nahee Aaj Bhee Mein Aadaab-e-Jawaani
Mein Aaj Bhee Auron Ko Naseehat Nahee Karta
Duniya Mein Qateel Ossa Munaafiq Nahee Koi
Jo Zulm Tou Sehta Hai Baghaawat Nahee Karta

Apne Haathon Ki Lakeeron Mein Basaa Le Mujhko

Qateel Shifai Poetry

Apne Haathon Ki Lakeeron Mein Basaa Le Mujhko
Mein Hun Tera Naseeb Apna Bana Le Mujhko
Mujh Se TU Poochnay Aaya Hai Wafa Ke Maainay
Ye Teri Saada-Dili Maar Na Daalay Mujhko
TU Ne Dekha Nahee Aainay Se Aagay Kuch Bhee
Khuda Parasti Mein Kaheen TU Na Ganwa Le Mujhko
Khud Ko Mein Baant Na Daalon Kaheen Daaman Daaman
Kar Dia TU Ne Agar Mere Hawaalay Mujhko
Baadaah Phir Baadaah Hai Mein Zeher Bhee Pee Jaon Qateel
Shart Ye Hai Koi Baanhon Mein Sambhaalay Mujhko

Wo Shaks Jisko Meri Zindagi Mein Aana Tha

Qateel Shifai Poetry

Wo Shaks Jisko Meri Zindagi Mein Aana Tha
Suna Hai Oske Taaqub Mein Ek Zamaana Tha
Na Tha Pasand Ksi Ko Bhi Dil Se Dil Ka Milaap
Magar Hamain TOu Diye Se Diya Jalaana Tha
Na Jaanay Bheeg CHali Kiun Hamaari Peshaani ?
Hamaaray Sar Pe Tou Sooraj Ka Shaamyaana Tha
Bohat Urooj Pe Thay Jub Hamaaray Qoul-o-Qasam
Hamaaray Pyaar Ka Wo Aakhri Zamaana Tha
Bohat Qareeb, Bohat Hee Qareeb Tha Sayyaad
Qafas Se Door Bohat Door Aashyaana Tha
Qateel Tujh Ko Mili Hai Isi Lye Shohrat
Ke Tu Samaaj Ki Tanqeed Ka Nishaana Tha

Roshni Chahye Sabaa Ke Lye

Qateel Shifai Poetry

Roshni Chahye Sabaa Ke Lye
Phool Roshan Karo Khuda Ke Lye
Osko Itna Bhee Meherbaan Na Kaho
Hum Taras Jaayein Ge Wafaa Ke Lye
Ishq Ki Intehaa Kisay Maaloom ?
Jaan Kaafi Hai Ibtedaa Ke Lye
Be-Gunaahi Jo Shart Tehri Hai
Hum Ko Chun Lijiye Sazaa Ke Lye
Parsaai Hai Buzdili Ka Naam
Honsla Chahye Khataa Ke Lye
Har Kisi Per Qateel Kiun Aata Hai ?
Dil Tha Sirf Ik Dil-Ruba Ke Lye

Jism Ke Jazeeray Mein, Ye Jo Dil Ki Vaadi Hai..

Qateel Shifai Poetry

Jism Ke Jazeeray Mein, Ye Jo Dil Ki Vaadi Hai
Is Pe Raaj Hai Jis Ka, TU Wo Shehzaadi Hai
Apnay Dar Pe Sajdon Ki Raah Kia Dikha Di Hai
TU Ne Mere Maathay Per Zindagi Sajaa Di Hai
Tujh Ko Bhoolna Chaahon, Aur Shikast Khaa Jaon
Kitni Be-Waqar Apni Quwwat-e-Iraadi Hai
Justuju Ke Sehraa Mein Ab Kahan Koi Aanchal ?
Mein Ne Apni Chhaon Bhi Dhoop Mein Ganwa Di Hai
Yaad Kar Ay Taaj Kubhi Tu Bhi Os Mohabbat Ko
Jis Ne Tere Marmar Ko Chaandni Pila Di Hai
Mera Saath Kia Dega Shaikh Barsar-e-Mehfil ?
Wo TOu Chhup Ke Baichaarah Jhoomnay Ka Aadi Hai
Dost Sab Qateel Apnay Tul Gaye Raqaabat Per
Mein Ne Koi Dil Ki Baat Jub Unhain Suna Di Hai

Ay Kaash Tujhe Aisa Ik Zakhm-e-Judaai Dun

Qateel Shifai Poetry

Ay Kaash Tujhe Aisa Ik Zakhm-e-Judaai Dun
Jab Tais Koi Chamkay Mein Tujhko Dikhai Dun
Jis Roz Kubhi Tera Deedaar Na Ho Paaye
Mein Apni Hee Aankhon Ko Naabeena Dikhai Dun
Magroor Hai TU Kitna Sirf Ik Sanam Ban Kar ?
TU Chaahay Tou Mein Tujhko Tan Man Ki Khudaai Dun
Tujh Sa Koi Dil Wala Mehsoos Karay Mujhko
Mein Geet Nahi Aisa Jo Sab Ko Sunaai Dun
Ik Umer Ke Baad Apnay Chit Chor Ko Pakra Hai
Mein Kaisay Qateel Osko Baanhon Se Rihaayi Dun ?

Ru-Baruu Wo Hai Ibaadat Kar Raha Hun

Qateel Shifai Poetry

Ru-Baruu Wo Hai Ibaadat Kar Raha Hun
Oske Chehray Ki Tilaawat Kar Raha Hun
Lo Kharido Ik Nazar Ke Moul Mujhko
Apni Qeemat Mein Riyaayat Kar Raha Hun
Li Hai Sabr-o-Zabt Ne Mujh Se Ijaazat
Apne Mehmaanon Ko Rukhsat Kar Raha Hun
Chhin Gaya Mulk-e-Jawaani Bhi Tou Kia Gham ?
Ab Bhi Yaadon Per Hukoomat Kar Raha Hun
Koi Bhi Gham Osko Loutaaya Nahi Hai
Yun Amaanat Mein Khayaanat Kar Raha Hun
Osne Tou Bas Ik Zara Si Baat Chehri
Mein Wazaahat Per Wazaahat Kar Raha Hun
Ishq Karke Aap Bhi Ban Jaayein Insaan
Sheikh Sahaab Ko Naseehat Kar Raha Hun
Aashiqui Tufaan-e-Girya Chahti Hai
Aur Mein Aahon Per Qana’at Kar Raha Hun
Aasmaan Jo Shaks Hai Sab Ki Nazar Mein
Osko Chhuu Lainay Ki Jurrat Kar Raha Hun
Mein Ne Dekha Hai Qateel Os Ka Saraapa
Mein Kahaan Zikr-e-Qayamat Kar Raha Hun ???

Ghazal Haraam Howi, Husn Per Lagay Pehray..

Qateel Shifai Poetry

Na Walwalay Wo Rahay Aur Na Wo Zamaana Raha
Samaa Hayaat Ka Laikin Sadaa Suhaana Raha
Ghazal Haraam Howi, Husn Per Lagay Pehray
Mera Mizaaj Magar Phir Bhi Shayaraana Raha
Khuda Bhi Maan Liya, Bandagi Bhi Ki Oski
Taaluq Os Se Magar Apna Gaayebaana Raha
Likha Howa Tha Mera Maazi Jis Ke Tinkon Par
Meri Uraan Mein Haayil Wo Aashyaana Raha
Paron Ke Dhair Lagay Hain Wahan Wahan Ab Bhi
Jahaan Jahaan Kisi Panchi Ka Aashyaana Raha
Kaheen Kaheen Koi Raahat, Kaheen Kaheen Koi Zakham
Mere Naseeb Ka Manzar Wohi Puraana Raha
Qateel Tark-e-Maraasim Wo Kar Gaya Phir Bhi
Salook Oska Mere Saath Dostaana Raha

Sirf Tere Haathon Ko Choomon Teri Bait Chaahoon

Qateel Shifai Poetry

Sirf Tere Haathon Ko Choomon Teri Bait Chaahoon
So Dar Chhor Ke Teri Ik Haseen Karaamat Chaahon
Thoray Thoray Din Kaatay Hain Kitni Hee Galyon Mein
Aakhri Baar Tere Dil Mein Ay Dost Sakoonat Chaahon
Aa Mein Koi Dhang Sikhaaon Tujhko Baichaini Ka
Tera Dost Hun Apni Si Teri Bhi Haalat Chaahon
Tere Zehen Ki Chaandi Aur Tere Badan Ka Sona
Apna Jism Luta Kar Bhi Mein Sirf Ye Daulat Chaahon
Ooper Waala Pooch Hee Baithay Mujhse Tou Mein Buzdil
Tujh Se Khul Kar Baatain Kar Saknay Ki Himmat Chaahon
Be-Garzi Ki Aakhri Had Per Banaa Qateel Jo Saathi
WOhi Tou Hai Ik Shaks Jisay Mein Binaa Zaroorat Chaahon

Jab Kisi Jaam Ko Honton Se Lagaya Mein Ne

Qateel Shifai Poetry

Jab Kisi Jaam Ko Honton Se Lagaya Mein Ne
Raqs Karta Howa Dekha Tera Saaya Mein Ne
Mujh se Mut Pooch Mere Mohtasib-e-sheher Se Pooch
Kiyoon Teri Aankh Po Paimaana Banaaya Mein Ne ?
Loog Kehte Hein Qasida Woh Tere Husn Ka Tha
Aam Sa Geet Jo Mehfil Mein Sunaya Mein Ne
Maikada Bund Tha Laikin Joon Hee Garja Baadal
Apni Tauba Ko Chatakh’ta Howa Paya Mein Ne
Shair-o-Naghmaat Ka Rishta Kabhi Toota Na Qateel
Jab Ghazal Bun Ke Woh Aaya Usay Gaaya Mein Ne

Tanhaiyon Ko Humsafar Kehta Raha Hoon Main

Qateel Shifai Poetry

Kari Tanhaiyon Ko Humsafar Kehta Raha Hoon Main
Khiyal-e-Yaar TujhKo Mautbar Kehta Raha Hoon Main,
Karaya Shaam-e-Furaqat Ne Taruf Ek Niya Is Ka
Woh Ek Dariya Ko Jisko Chashm-e-Tar Kehta Raha Hoon Main,
Wahaan Bhi Log Apni Kirchiyaan Cunte Nazar Aaye
Jahaan K Pathron Ko Be Zarar Kehta Raha Hoon Main,
Nazar K Zawiye Tabdeel Kar Dete Hain Kuch Chehre
Woh Qatil Tha Jise Jaan-o-Jigar Kehta Raha Hoon Main,
Sila Ab Aur Kiya Maango “Qateel” Apni Ebadat ka
Yehi Meri Jannat Jis Ko Ghar Kehta Raha Hoon Main..

Angrayi pe angrayi leti hai

Qateel Shifai Poetry

angrai par angrai leti hai rat judai ki
tum kya samjho tum kya jano bat meri tanhai ki
kaun siyahi ghol raha tha waqt k bahte dariya mein
main ne ankh jhuki dekhi hai aj kisi harjai ki
wasl ki rat na jane kyun israr tha unko jane par
waqt se pahle dub gae taron ne bari danai ki
urte urte as ka panchi dur ufaq mein dub gaya
rote rote baith gai awaz kisi saudai ki

0 plz comments:

Post a Comment