Yasmin Seher Poetry
Yasmin Seher is another upcoming young lady from the city of Jhelum. Her first book was published in 2004 and it was named “Aks Chalta Hai”. She has not come up with any other book after that.
Yasmin Seher writes about true love and affection towards close friends.
Yasmin Seher writes about true love and affection towards close friends.
Waqia yaad kab raha hoga
Yasmin Seher Poetry
Waqia yaad kab raha hoga,
Har kisi ne bhula diya hoga..
Har kisi ne bhula diya hoga..
Noha har aankh mein rakha hoga,
Khawaab ko dafan kar diya hoga..
Khawaab ko dafan kar diya hoga..
Janay kis kis jagah kahani main,
Naam us ne mera liya hoga,
Naam us ne mera liya hoga,
Dil main baki naa hon ge wo manzar,
Yaad ka aks reh gaya hoga..
Yaad ka aks reh gaya hoga..
…
Talab asi na koi cheez zaroorat jaisi
Yasmin Seher Poetry
Talab asi na koi cheez zaroorat jaisi,
Koi tu baat thi hum tum main mohabbat jaisi..
Koi tu baat thi hum tum main mohabbat jaisi..
Gar khuda mera meray dil ki dua sunn leta,
Surtain sari banata teri surat jaisi..
Surtain sari banata teri surat jaisi..
Dekhna usi ko faqat toot ke dekha karna,
Meri haalat bhi thi deewano jaisi..
Meri haalat bhi thi deewano jaisi..
Ankh main utray koi chehra tere chehray saa,
Koi tasweer tu ho teri shabahat jaisi..
Koi tasweer tu ho teri shabahat jaisi..
Teray hum’rah tera sayaa bhi kab dekh sakoon,
Dil jalati hai koi baat raqabat jaisi..
Dil jalati hai koi baat raqabat jaisi..
Un dino waqt bhi thehra howa sa lagta tha,
Aur fursat bhi thi hum ko koi fursat jaisi..
Aur fursat bhi thi hum ko koi fursat jaisi..
…
0 plz comments:
Post a Comment