kabhi tuta nahi  mere dil se tari yad ka rishta.


kabhi tuta nahi  mere dil se tari yad ka rishta..

guftagu ho na ho khiyal tera hi rehta he!
This Poetry is showed by : Ramzan sandhu


Zindagi bhar koi sath ni deta yeh ab  to jan ja.


zindagi bhar koi sath ni deta yeh ab  to jan ja..
                kamal
chahne  wale bhi tab yaad karte han jab wo khud akelay hon!
This Poetry is showed by : Ramzan sandhu



Shehar-e-ehsas mein sangeen hai jurm-e-ulfat.!

Shehar-e-ehsas mein sangeen hai jurm-e-ulfat..
Gham key zindaa’n mein hi ab apna basera ho ga.!

Shabab rafta key qadam ki chaap sun raha hun mein!

Shabab rafta key qadam ki chaap sun raha hun mein!!
‘Nadeem’ ehad-e-shouq ki sunaey ja kahani’yan..

Sham sey hai mujh ko subha-e-gham ki fikar..

Sham sey hai mujh ko subha-e-gham ki fikar..
Subha sey gham sham-e-tanhai ka hai!

Shouq-o-wisal hai yaha’n, lab pe sawal hai yaha’n.!!

Shouq-o-wisal hai yaha’n, lab pe sawal hai yaha’n.!!
Kis ki majal hai yaha’n hum sey nazar mila sakey..


Wo tera parda sirka key dekha..

Wo tera parda sirka key dekha
Wo tera anchal hata key dekha
mujh ko kahin pagal na ker dey
wo tera ruk ruk key ankh’ain ghuma key dekhna

Sholey mein hai ik rang tera.!

Sholey mein hai ik rang tera.!
Baki hein tamam rang meray..

Shikayat to nahi karta hun lekin gharz itni hai..

Shikayat to nahi karta hun lekin gharz itni hai..
Wo akhir kiya karey jo har tarha majboor ho jaye!!

Kia maza in haseen bahar’on ka.!!

Kia maza in haseen bahar’on ka
Sehan,gulshan aur rang par’on ka
Kesay guzar sakey ga wo in key sath
Jisey dukh ho bichray yaar’on ka
Aaj bari mudat key bad na janey kiun
Khat aya hai meray chahney wal’on ka
Laut aao in rast’on sey ‘Gul’
Ye sandesa hai meray piyar’on ka

Shajar be-saya ho jae’in to samajh …

Shajar be-saya ho jae’in to samajh …
Bicharney ka waqt aa gaya!!

Mein to nahi ye zamana pagal ho gaya hai..

Mein to nahi ye zamana pagal ho gaya hai
Mujhey tum sey juda kerney per tul gaya hai
Jo bhyed umer’on sey chupaye huay thay
Mera khayal hai ab khul gaya hai
Meray mathey pey jo daag-e-ruswai tha
Ab wo dhul gaya hai
Lagta hai youn aaj ‘Gul’ jesay
Zulm ka soraj dhal gaya hai


Shumar is ki sakhawat ka kia kar’ein key wo shaks..

Shumar is ki sakhawat ka kia kar’ein key wo shaks..
Charag bant’ta phirta hai, Cheen key ankh’ein.!


Shama khamosh, dil afsurda, nigah’ein be-noor.!!

Shama khamosh, dil afsurda, nigah’ein be-noor.!!
Hum ney dekhi hai qayamat shab-e-tanhai ki..


Shaheed’on ka lahoo ik dard hai, jis ki chamak dil mein.!!

Shaheed’on ka lahoo ik dard hai, jis ki chamak dil mein.!!
Kai chehray banati hai kai yaad’ein ugati hai..


Shayed ik ye bhi muhabbat ka atal qanoon hai..

Shayed ik ye bhi muhabbat ka atal qanoon hai..
Dushmani shidat sey ho jati hai yaraney key bad.!




Shola-e-husn sey jal jaye na chehray ka naqaab.

Shola-e-husn sey jal jaye na chehray ka naqaab..

Apney rukhsar sey pardey ko hataye rakhiye!